find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramzan Ka Mahina Magfirat Ka Mahina Hai. (Part 05)

Ramzan Ke Mahine Ki Shuruwaat.
RAMZAN - PART 5 Mah-e -Ramadhan ki ibtida wo inteha aur chand ka bayan.
Mah-e -Ramadhan ki shuruaat is maah ka chand dekhne yaa uske dikhne ki
shahadat milne yaa maahe shabaan ke 30 din pure hone se hogi.

1. Chand ki ruyat yaa shabaan ke 30 din pure karne ke ba`az dalail:

Abu Hurairah (R.A) ne kaha ke Nabi kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Chand hi dekh kar roze shuru Karo aur Chand hi dekh kar roze mauqoof karo aur agar badal ho jaye to shabaan ke 30 din pure Karo.
📒 (Sahih Bukhari ,hadith no :1909, Sahih Muslim hadith no :1081)
Rasoolullah sallalahu alaihi wa sallam ne farmaya :
Mahina aisa aisa aisa yaani 30 din ka hota hai phir farmaya aur kabhi aisa aisa aisa yaani 29 ka, kabhi 30 aur kabhi 29 kahte rahe.
📒(Bukhari :5302, Muslim :1080: ibn Umar (R. A.))
2. Kya ek jagah ki ruyat tamaam duniya ke liye kaafi hogi yaa ikhtilaafe mataley ka etebar hoga?

Is silsile me ulama ke kai aqwaal hain jinme do aqwaal mashoor hain.

1. Agar ek mulk yaa shaher me chand nazar aagaya to digar mumalik aur ilaaqo ke log bhi roza rakhenge. Yeh jumhur hanafiya.
(Badayeyus Sanaye, Al-Kasani: 2/83,fatahul Qadir, Ibnul humaam:2/313),Hanabila(Al insaaf, Al mardawi :3/193
Almubde’, Ibnemuflih:3/7) aur maalikiya (Al-taaj wal Ikleel :2/381, Az zakhirah, Al Qarafi: 2/490) ka qaul hai.
Dalail:
Qur'an se : Allah tala ka farman : (Al Baqarah :185)
Wajhe istedlaal : ye khitab puri Ummat ke liye hai isliye agar kisi ek jagah chand
nazar aa jaye to tamaam musalmano ko roza rakhna hoga.
📒(Majmoo fatawa wo rasayel, Ibne Uthaymeen :19/44)
Sunnat se : Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: (Sahih Bukhari :1909, sahih Muslim :1081)
Chand dekh Kar roza rakho.
Wajhe istedlaal : Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne tamaam musalmano par chand dekhne par roza rakhna wajib qarar diya hain aur kisi khaas jagah ki tayyun nahi kia hai.
📒 (Majmoo fatawa wa rasayel Ibne Uthaymeen :19/44)
To Be Continued

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS