find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramzan Ka Mahina Magfirat Ka Mahina Hai. (Part 03)

Maah-E-Ramzan Ki Fazilat
RAMZAN - PART 3 Maahe Ramadan ke fazayel
1.Ramzan me Quran Kareem naazil kiya gaya.
Allah tala ne irshad farmaya:
Maahe Ramadhan who mahina hai jisme Qur'an utara gaya jo logo ko hidayat karne wala hai aur jisme hidayat ki aur haq wa batil ki tameez ki nishaniyan hain. (Suratul Baqarah :185)
2. Ramadan me jannat ke darwaze khol diye jaate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hai.

Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:
Jab maahe Ramadhan ki pahli raat aati hai toh shayateen aur sarkash
jin jakad diye jaate hai, jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain un me se koi bhi darwaza khola nahi jaata aur jannat ke darwaze khol diye jaate hain un me se koi bhi darwaza band nahi kiya jaata,pukarne wala pukarta hai: Khair ke talabgaar ! Aage badh aur jaate hain aur aisa (Ramadan ki) har raat ko hota hai."
📒(Sahih Bukhari hadith no :1898,1899, Sahih Muslim , hadith no :1079, jame Tirmidhi,alfaaz isi ke hain, hadith no :682)

3. Ramadan magfirat ka mahina hai.
Abu Hurairah (R.A) kahte hain ke Rasoolullah sallalahu alaihi wa
sallam ne farmaya :" Us shakhs ki naak khaak aalud ho jiske paas mera zikr kiya jaye aur woh shakhs mujh par darood na bheje, aur us shakhs ki bhi naak khaak aalud ho jiski zindagi me Ramadhan ka mahina aaya aur uski magfirat hue bagair woh mahina guzar gaya aur us shakhs ki bhi naak khaak aalud ho jisne apne maa baap ko budhape me paya ho aur wo dono use unke sath husn e suluk na karne ki wajah se jannat ka Mustahiq na bana sake.
(Musnad Ahmad hadith no.7451, Al-Adabul Mufrad, Bukhari hadith no:646 Sunan Tirmidhi : hadith no. 3545, Albaani rahimullah ne farmaya yeh hadith hasan sahih
hai.)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS