find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aala Akhlaq Wala Shakhs Kaisa Hai?

Akhlaq (Character) Wale Log Kaise Hai?

   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
        السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
Hadith: Momeen Apne Aala Akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai.
Aisha radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen Apne aala akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai.   Sunan Abu dawud, Jild 3, 1370-sahih
Abu Darda radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meezan e aamal mein achche Akhlaq se bhari koi cheez nahi
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1371-sahih
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye aala Jannat mein ek ghar ki zamanat deta hu jiska akhlaq aala (bahut achcha) ho
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam ne farmaya Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain.   Sunan Abu Dawud, Jild 3 ,1257-Sahih
حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا فرماتی ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ مومن آدمی اپنے اعلیٰ اخلاق سے سارے دن کے روزہ دار اور ساری رات کے تہجد گذار کا درجہ حاصل کرلیتا ہے۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧٠ صحیح 
حضرت ابوالدرداء رضی اللہ تعالیٰ عنہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ نے فرمایا میزان اعمال میں حسن اخلاق سے زیادہ بھاری چیز کوئی نہیں
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧١ صحیح 
حضرت ابوامامہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا میں اس شخص کے لئے اعلی جنت میں ایک گھر کی ضمانت دیتا ہوں جس کا اخلاق اعلی ہو ۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧١ صحیح 
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مومنوں میں سب سے کامل ایمان والا وہ ہے جو ان میں سب سے بہتر اخلاق والا ہے ۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٢٥٧ صحیح
  आयशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मोमीन अपने आला अख़लाक़ से सारे दिन के रोज़ेदार और सारी रात के तहज्जुदगुज़र का दर्जा हासिल कर लेता है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1370-सही
अबू दर्दा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मीज़ान ए आमाल में अच्छे अख़लाक़ से भारी कोई चीज़ नही   सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1371-सही
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मैं उस शख्स के लिए आला जन्नत में एक घर की ज़मानत देता हूँ जिसका अख़लाक़ आला (बहुत अच्छा) हो  (सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1372-हसन)
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया ईमान के ऐतबार से कामिल मोमीन वो हैं जिनके अख़लाक़ बेहतरीन हैं  (सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3 ,1257-सही)
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Apni Zuban aur Hath se dusro ko takhlif na de.
Musalman wo hai jo Musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takhleef pahunchne se) Mahfooz rakhe.
Abdullah bin Amr bin al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shakhs ne Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se pucha ki kaunsa Musalman behtar hai ? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo Musalman jiski zuban aur haath se dusre Musalman mehfooz ho (yani zuban se na kisi Musalman ki burayee kare aur na haath se kisi ko takleef de)
Sahih Muslim, Jild 1, 161
Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya.
Sahih bukhari, Vol 7 , 6484
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Momeen dusre Momeen ka aaeena hai, aur Momeen dusre Momeen ka bhai hai jo nuksaan ko us se dur karta hai aur uski gair mojudgi mein uski hifazat karta hai.   Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1486 (Hasan)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS