KaunsI LADAKI NIKAH KE BAAD BAHUT MUHABBAT KAREGi?
Hazrat Maaqal bin Yasar (rz) se rivayat hai ke Ek Aadmi Rasool Allah ke paas aaya kaha aye Allah ke rasool Ek aurat se mein Nikah karna chahta hoon jo bade khandan ki hai aur khubsurat hai lekin banjh hai kya mein nikah kar loon? to Aap ney nahi, dosray din bhi yahi sawal kiya to Aap ne kaha nahi, teesray din bhi kaha nahi, phir kaha tum ziyada Mohabbat karne wali aur Jyada bachay dainay wali Aurat se Nikah karo, mein kal Qayamat ke din tamam ummton par badi ummat hone par fakhr karoon ga (Abudaod).
is hadees mein Rasoolullah ne banjh Aurat se sahabi ko mana farmaya to ye Hukum sab ke liye bilkul mana nahi hai balkay is Sahabi ke liye Aap ka Mahswara tha, warna totally mana nahi hai banjh Aurat se bhi nikah bilkul kiya ja sakta hai. Yahan par Nabi ney aik aisi aurat se nikah karne ki targheeb dilaai jis me 2 khoobiyan hon, ziyada bachay dainay wali aur ziyada Mohabbat karne wali. ab yeh kaisay pata chalay ke kaun zyada bachay dainay wali hai? ziyada bachay dainay wali ko pehchanney ka tareeqa yeh hai ke is ke khandan mein dekha jayega, is ki Ammi, is ki Behan, khaala Ammi, un ko dekh kar Maloom kiya ja sakta hai, ya agar shadi shuda hoto maloom hoga. ab doosra Masla yeh hai ke ziyada Mohabbat karne wali hai yeh kaise Pata chalega?
is ka jawab ye hai ke jo Bhi Jyada Bache dene wali ladki hogi fitri tour par Jyada Mohabbat bhi keregi. Allah taala ney jis Aurat mein Jyada aulaad ki salahiyat rakhi hai us mein ziyada Mohabbat bhi rakhi hai .
Ladki ke Mohabbat karne ki Dusri Alamat larki ki Maan (Mother أمي) Hai Agar wo apne shauhar ki izzat karti hai is ki tareef karti hai itaa’at guzaar hai to is Bachi Mein bhi woh sifat ajati hai, us Ladki ka BAAP Apni Biwi ki Bahut izzat karta hai Mohabbat karta hai Ehtram karta hai to Bachi mein Bhi Mohabbat ki sifat hoti hai, Agar Biwi Shauhar ko Gaali de ya Shauhar Biwi ko gaali day dono aik dusrey ki shikayat karte hain dono mein Mohabbat nahi payi jati hai to Aeisey Maan-Baap ki Ladaki mein bhi Muhabbat Mushkil hai, lekin Mukammal namumkin nahi hai, mushkil to zaroor hai.
Agar Baap Bahut zulm karne wala hai to aisay aadmi ki Ladaki ke dil mein Mardon se nafrat hoti hai Nafsiyati Aeitebaar se Aeisi Bachi sab Mardon ko zalim hi samjhti hai, aik ajeeb tarah ki Nafrat ki kaifiyat chhai hui rehti Hai.
kuchh Mawaqah par Rasoolullah ney kunwari Ladki se Nikah par ubhara hai is ki Bunyadi wajah yeh ke wo Jyada Mardon se waaqif nahi hoti hai, is ki Shauhar se Pahli Mohabbat hoti hai, jab Ek Martaba Mohabbat ho jati hai to phir Zindagi bhar chalti hai, Mardon se Nawaqif honey ki wajah Se Jyada Dhyan Apne hi Shauhar par lagati hai, Chhoti Cheez par bhi raazi ho jati hai, Dusron se Muhabbat Rakhney ke bajaye apne hi Shauhar se ziyada Muhabbat rakhati hai. in tamam khoobiyon ki wajah aap ney targheeb Dilayi ke kunwari se karna Behtar hai Lekin is ka hargiz Matlab nahi ke shauhar deedaa yaani Bewa ya Muatallaqa Me Yah khoobiyan nahi hoti hain, Balkay Bewa ya Muatallaqa men bhi bahut saari khoobiyan hoti hain.
Agar bewa ya mutallqa Deendar hai to is mein Mamala fehmi hoti hai, Shauhar kin cheezon se khush hota hai aur kin se naraaz hota hai is ka ilm is ko pehlay hi se rehta hai, is ko samjhane ki zaroorat nahi hai,Bahut saaray Mamlaat jahan Shauhar ko samajh mein nahi aata wahan yeh Shauhar deedaa biwi Rahnumai karti hai, yeh kanwari Larki ko Gharelu kamon mein Pakwaan mein umoor khanah daari mein Ek lambi tarbiyat aur sabr ki zaroorat rehti hai yahan aisa nahi hota hai balkay umoor khanah daari se mukammal waaqif hoti hai.Ek Shauhar umdah khaano ka Shauqin hota hai jis ko yeh khatoon bakhoobi Anjaam deti hai.
Bewa ya Muatallaqa se Nikah karna koi Galat baat nahi hai kyun ke Nabi ki saari Biwiyan Muatallaqa ya Bewa (widow) hi theen siwaye Ammi Aayesha Saddiqa (rz)ke. yaqeenan Aulaad dainay wali Aurat se Nikah ki targheeb di gayi hai agar Allah ney muqaddar mein Aulaad nahi rakhi hai to is par sabr bhi karna hoga. jaisay ibrahim (Alahissalam)aur zakaria (Alahissalam) ney sabr kiya, un dono Nabiyo ko lambi Muddat taq aulaad nahi hui unhon ney nah un ko tana diya nahi zulm kya nahi Talaq diya. balkay Allah se dua karte rahay .
1 Arabi Dehati se poocha gaya ke kis taraha ki aurat se nikah kiya jaye to us ney kaha sab se behtareen Aurat wo hai jo qad mein onchi ho, jab baithy to Muazzaz lagey, jab baat kere to sach bolay, jab gussa aeye to burdbaari se kaam le, yani gussa ka foran izhaar nah kare, jab hanse to muskuraye, agar koi cheez pakaye to lazeez wa mazedar banaye, Shauhar ki itaat kere, ghar se bahar intehaai zaroorat par hi Nikley, Takabbur se pak ho, Jyada Mohabbat karne wali aur Jyada Bache Dene wali ho .
No comments:
Post a Comment