find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label deen ki dawat sahi dalilo ke sath dena kyu jaruri hai. Show all posts
Showing posts with label deen ki dawat sahi dalilo ke sath dena kyu jaruri hai. Show all posts

Deen ki Dawat Sahi Dalilo ke Sath Dena kyu Zaruri Hai?

📮DEEN KI DAWAT AUTHENTICITY(sahi dalilo) KE SATH KYU ZARURI HAI❓

♻Bismillahhirrahmanirrahim ♻

🔴Tamam Insaniyat ko Islam ki Dawat dene ki zaroorat

Allah Rabbul izzat ka farman hai :-

📚Surah Aal-e-Imran
📖Surah no.3
📝Aayat no.110

كُنْتُمْ خَيْرَ اُمَّةٍ اُخْرِجَتْ لِلنَّاسِ تَاْمُرُوْنَ بِالْمَعْرُوْفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَتُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ ۭ وَلَوْ اٰمَنَ اَھْلُ الْكِتٰبِ لَكَانَ خَيْرًا لَّھُمْ ۭمِنْھُمُ الْمُؤْمِنُوْنَ وَ اَكْثَرُھُمُ الْفٰسِقُوْنَ

" Tum behtareen ummat ho jo logon ke liye paida ki gaee ho ke tum nek baaton ka hukum kerte ho aur buri baaton se rokte ho aur Allah Taalaa per eman rakhte ho agar ehal-e-kitab bhi eman late to unn ke liye behtar hota unn mein eman wale bhi hain lekin aksar to fasiq hain."

📌 Islam ki Dawat chahe Musalmano ki islah ho ya ghair muslimo me tableegh me ye authentic references k saath isliye zaroori hai Taake :-
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

1⃣ Dawat me Transparency(shaffafiyat) rahe..

2⃣Gumrahi ka koi chance na ho.

3⃣Hamko Dawat dene wala shakhs Haq ki dawat deraha hai ya mehez suni sunai bato ko forward kar raha hai yeh b clear hojaye.

🔴DALEEL mangne ki zaroorat
Allah ka farman hai :-

📚Surah Baqarah
📖Surah no.2
📝Aayat no.111

وَقَالُوْا لَنْ يَّدْخُلَ الْجَنَّةَ اِلَّا مَنْ كَانَ ھُوْدًا اَوْ نَصٰرٰى ۭ تِلْكَ اَمَانِيُّھُمْ ۭ قُلْ ھَاتُوْا بُرْھَانَكُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِيْنَ

" Yeh kehte hain ke jannat mein yahud-o-nasaaraa ke siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachche ho to koi daleel to paish karo."

👆🏻 Iss aayat se yeh bhi maloom hua k jo Haq par hoga woh apni bat ki sahi daleel b dega

📌Yad rakhiye bhaiyo aaj ka daur fitno ka daur hai iss daur me kaun fasiq(disobedient) hai hum nahi jaante isliye jab hume koi shakhs khas taur se Deen k bare me koi bat batay to uski tehqiq (verification) kar lena chahiye.

Allah ne apni kitab me ye usool dete hue farmaya hai

📚Surah Hujrat
📖Surah no.49
📝Ayat no.6

يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اِنْ جَاۗءَكُمْ فَاسِقٌۢ بِنَبَاٍ فَتَبَيَّنُوْٓا اَنْ تُصِيْبُوْا قَوْمًۢا بِجَــهَالَةٍ فَتُصْبِحُوْا عَلٰي مَا فَعَلْتُمْ نٰدِمِيْنَ

Aey iman walo ! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ki achi tarah tehqeeq kerlia karo aisa na ho kay nadaani mein kisi qaum ko iza phoncha do phir apne kiye per pasheymani uthao.

👆🏻Deen k bare me bina daleel bat karne se darna chahiye kahin aesa na ho k unki baat ghalat nikle or woh seedhe jahannum me ja paden

📌Authentic baat pohoch jaane k baad b Haq baat ka inkar karne walo ka anjaam

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
📚Surah Nisa
📖Surah no.4
📝Ayat no.115

وَمَنْ يُّشَاقِقِ الرَّسُوْلَ مِنْۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ الْهُدٰى وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيْلِ الْمُؤْمِنِيْنَ نُوَلِّهٖ مَا تَوَلّٰى وَنُصْلِهٖ جَهَنَّمَ ۭ وَسَاۗءَتْ مَصِيْرًا

Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat ke wazeh ho jane ke bhi Rasool’Allah sallallaho alaihi ke khilaf kare aur tamam mominon ki raah chhod ker chale hum usey udhar hi mutawajja ker denge jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal denge woh phonchney ki boht hi buri jagah hai.

🔴Deen ki baat bina daleel/refrence jaane bayan karne wala
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

✔☘Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya
" kisi shaks ke jhoota hone ke liye itna hi kafi hai ke wo har suni sunai bat ko aage bayan karde."

📚Sahi Muslim, Muqaddama Hadees no. 9

✔☘Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya
"jisne mere upar
jhoot bandha usne apna thikana jahannum me bana liya."

📚Sahi Bukhari hadees no. 108

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS