find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label namaj ke darmiyan apni saff durust kar lein. Show all posts
Showing posts with label namaj ke darmiyan apni saff durust kar lein. Show all posts

Namaj ke Darmiyan Apni Saff Durust Kar Lein.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الْمُبَارَكِ الْمُخَرِّمِيُّ، ‏‏‏‏‏‏قال:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو هِشَامٍ، ‏‏‏‏‏‏قال:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبَانُ، ‏‏‏‏‏‏قال حَدَّثَنَا قَتَادَةُ، ‏‏‏‏‏‏قال:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَنَسٌ أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قال:‏‏‏‏  رَاصُّوا صُفُوفَكُمْ وَقَارِبُوا بَيْنَهَا وَحَاذُوا بِالْأَعْنَاقِ فَوَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ إِنِّي لَأَرَى الشَّيَاطِينَ تَدْخُلُ مِنْ خَلَلِ الصَّفِّ كَأَنَّهَا الْحَذَفُ .

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: तुम अपनी सफ़ें दीवार की तरह दुरुस्त कर लो, और उन्हें एक दूसरे के नज़दीक रखो, और गर्दनें एक दूसरे के बराबर रखो क्योंकि क़सम है इस ज़ात की जिसके हाथ में मुहम्मद की जान है, मैं शयातीन को सफ़ के दरमयान घुसते हुए देखता हूँ जैसे वो बकरी के काले बच्चे हों।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”tum apni safen diwaar ki tarha durust kar lo, aur inhen ek dusre ke nazdeek rakho, aur gardane ek dusre ke barabar rakho kyun ke qasam hai is zaat ki jis ke haath mein Muhammad ki jaan hai, mein shayateen ko saf ke darmiyan ghuste hue dekhta hun jaise woh bakri ke kaale bachhe hon“.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”تم اپنی صفیں دیوار کی طرح درست کر لو، اور انہیں ایک دوسرے کے نزدیک رکھو، اور گردنیں ایک دوسرے کے بالمقابل رکھو کیونکہ قسم ہے اس ذات کی جس کے ہاتھ میں محمد کی جان ہے، میں شیاطین کو صف کے درمیان گھستے ہوئے دیکھتا ہوں جیسے وہ بکری کے کالے بچے ہوں“۔

🌺The Prophet ﷺ said, Make your rows solid and close together, and keep your necks in line. By the One in Whose Hand is the soul of Muhammad! I can see the shaitan entering through the gaps in the rows as if they are small sheep.

📜 *wazahat:* Nabi Akram ﷺ Ka Safon ke Darmiyaan fark ya faasle mein shaitan Ko ghuste hue dekhna to haqeeqan hai, Allah tala ne aapko mojze ke taur par ye manzar dikhaya ho ya bazariye wahi aap ko is se agah kiya gaya ho ke safon mein khula rakhne se shaitan khush hota hai, aur use waswasa andazi ka mauka milta hai.
saf bandi mein yeh bhi shaamil hai ke safen darmiyan se khaali nah hon, balke nazdeek satt kar khade hon, chunancha [📗Abi Dawud: 666] mein Abdullah bin Umar ra kehte hain ke rasool Allah ﷺ ne farmaya: *safen seedhi karo, apne kaandhon ko barabar kar lo khaali jagah par, aur apne bhaiyon ke liye narmi apnao, shaitan keliye khaali jagah mat chhorro, saf milaane wale ko Allah taala milata hai aur saf torne wale (yani safon mein fark wa fasla rakhne walo) ko Allah taala tor deta hai.*

📚 _*Sunan Nasai: jild 1, kitab Al-Imamah 10, hadith no. 816*_
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS