*ꙮRamadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaailꙮ*
*Part-⓶*
*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*
*🖋Romanised By: Umar Asari*
*✪Roze ki niyat:✪*
Tamam aamaal ka daar o madar niyat par hai lehaza Roze ki qubooliyat ke liye achchi niyat ka hona zaroori hai.
Allah ka farmaan hai:
قُلْ أَتُعَلِّمُونَ اللَّهَ بِدِينِكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
*◈Tarjumah:◈* Keh dijye ki kya tum Allah ko apni deendaari se aagaah kar rahe ho, Allah har us cheez se jo aasmaano mein or zameen mein hai bakhoobi aagaah hai. Or Allah har cheez ka jaanne waala hai.
*(Surah Al-Hujuraat, Surah No: 49 Ayat No: 16)*
Goya naam le kar apne aamaal ko bataane ki zaroorat nahi.
Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الزُّبَيْرِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ التَّيْمِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ عَلْقَمَةَ بْنَ وَقَّاصٍ اللَّيْثِيَّ، يَقُولُ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ عَلَى الْمِنْبَرِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ: إِنَّمَا الأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ
*◈Tarjumah:◈* Alqamah Bin Waqqaas Al-Laithi bayan karte hain ki maine Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Mimbar e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallahu Anhu ki zabaan se suna, wo farma rahe the ke maine Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farma rahe the ki tamaam aamaal ka daar o madaar niyat par hai aur har amal ka nateeja har insaan ko uski niyat ke mutaabiq hi milega, pas jiski hijrat (tark e watan) doulat e dunya (duniya ki daulat) hasil karne ke liye ho ya kisi aurat se shaadi ki gharz ho, pas uski hijrat un hi cheezon ke liye hogi jinke hasil karne ki niyat se usne hijrat ki hai.
*(Sahih Bukhari: 1)*
*➤* Niyat ka talluq dil se hai lehaza alfaaz ke zariye zabaan se bol kar niyat karna bidat hai. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ
*◈Tarjumah:◈* Har bidat gumraahi hai aur har gumraahi aag (jahannam) mein le jaayegi.
*(Sunan Nasai: 1578)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai
*➤* Aamaal ki qubooliyat ke liye zabani alfaaz ki nahi balki sachchi niyat (ikhlaas) aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ki pairwi ki zaroorat hai. Jis ka zikr Allah ke is farmaan mein hai:
فَمَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا
*◈Tarjumah:◈* To jise bhi apne parwardigar se milne ki arzoo ho use chahiye ke nek aamaal kare aur apne parwardigar ki ibadat mein kisi ko bhi shareek na kare.
*(Surah Al-Kahf, Surah No: 18 Ayat No: 110)*
*➤* Poore Ramadhan ki ikaththe (ek saath) niyat karna durust nahi hai balki har Roze ki alag alag niyat kare. Niyat ka waqt Maghrib ke baad se Fajr tak hai. Is douran kisi bhi waqt Roze ki niyat kar le.
Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
عَنْ حَفْصَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: مَنْ لَمْ يُبَيِّتِ الصِّيَامَ مِنَ اللَّيْلِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ
*◈Tarjumah:◈* Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jo shakhs raat ke waqt Roze ki niyat na kare uska Roza nahi.
*(Sunan Nasai: 2334)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.
عَنْ حَفْصَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ : مَنْ لَمْ يُجْمِعِ الصِّيَامَ قَبْلَ الْفَجْرِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ
*◈Tarjumah:◈* Ummul Momineen Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne Fajr hone se pehle Roze ki niyat nahi ki us ka Roza nahi hoga.
*(Sunan Abi Dawood: 2454)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.
In dono Ahadees se jahan is baat ka ilm hota hai ke har Roze ki niyat alag alag honi chahiye wahien yeh baat bhi maloom hoti hai ke Roze ki niyat ka waqt raat se le kar Fajr tak hai.
*➤* Logon mein Roze ki niyat ke alfaaz maroof (famous) hain woh alfaaz kuch tarah se hain:
*①* نویت أن أصوم غدا
(main kal ka Roza rakhne ki niyat karta hun)
*②* بِصَوْمٍ غَدٍ نَّوَیْتُ
(kal ke Roze ki niyat karta hun)
*③* وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَیْتَ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ
(aur main Ramadhan maheene ke kal ke Roze ki niyat karta hun)
*Niyat ke yeh mukhtalif alfaaz kisi Hadees se saabit nahi balki is talluq se koi Zaeef ya Mauzoo’ riwayat bhi nahi milti.* Niyat ke alfaaz khud hi batlate hain ke hum khudsaakhta (khud se banaye huwe) hain. In alfaaz mein lafz “ghad (غد)” (jo ke kal ke meaning mein hai) kaise sahih ho sakta hai jabki Roza aaj ka hota hai.
*✵Tambeeh:✵* Kuch log ummat ko niyat ke naam par aise aamaal ka dars dete hain jo na sirf mashaqqat ki wajah bante hain balki aamaal ke barbaad hone ka bhi sabab hain. Main ne suna hai ke kitne log is liye Namaz nahi padhte ke unhein namaz ki khudsaakhta (khud se banaayi hue, banawti) niyat nahi aati.
*☘Agli Post Ka Intizaar Karen☘*
🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
------------------