find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label shab e barat mnana sunnat ya biddat. Show all posts
Showing posts with label shab e barat mnana sunnat ya biddat. Show all posts

Shab-E-Barat Mnana Sunnat Ya Biddat (Part 1✍)

*📍"SHAB-E-BARAAT" manana Sunnat ya Biddat❓*

*Part-1*

🅾  Aap logo ki pesh-karta ZAEEF-HADEES ke mutabik Rasoolullah "Shab-e-Baraat" apni puri zindagi me sirf ek manaaye ya har saal❓

📚Jis ZAEEF HADEES me aata hai ke "15 Shabaan ki Raat" (Shab-e-Baraat) ko Rasoolullah ne Jannatul-Baqi Qabarstan jakar murdo keliye dua ki hai lekin sabse Ajeeb baat to ye hai ke ye Ayesha (R) se Riwayat wali Hadees se pata chalta hai ke apni puri zindagi me Raoolullah ne sirf 1 hi bhar Jannatul-Baqi Qabarstan jakar murdo ke liye dua ki. Sawal ye paida hota hai ke har saal "15wi Shaaban ki Raat" ko Rasoolullah Jannatul-Baqi Qabarstan kyun nahi jaaye karte the❓

halanke "15 Shaban" har saal aata hai. Jaisa ke  ham sab jaante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko Ramadhan ki pure aakhri 10 Raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko har saal Rasoolullah ne aisa nahi kiya warna Ayesha (R) isi Hadees me ya kisi aur dusri Hadees me kaheti ke Rasoolullah HAR SAAL "15wi Shabaan ki Raat" ko Qabarstan jaaye karte the aur hamko ibaadat ke liye uthaate the.

*❌Samajdaar ko ishara kaafi hai.❌*

📚Dursi Ajeeb baat to ye hai ke SHAB-e-MERAJ ko BIDDAT kahne wale log SHAB-e-BARAAT aate hi BIDDAT kya hoti hai hai bhul jaate hai. SHAB-e-MERAJ nahi manane walo ka kahena hai ke "SHAB-e-MERAAJ" manana Sahih Hadees se saabit nahi hai, ham bhi to yehi kahe ke jis tarah "SHAB-e-MERAAJ" manana Sahih Hadees se saabit nahi hai usi taraf "SHAB-e-BARAAT" manana bhi to Sahih Hadees se sabit nahi hai, ye baat aap kyun nahi samaj paa rahe ho.

📚Waqai me ham agar Sahih Hadees ki roshni me amal karna chah rahe hai to fir SHAB-e-BARAAT manana ek Biddat hai kyunke ye Sunnat-e-Rasool nahi hai.

*Lekin lekin lekin,*

Logo ke amal se aisa lagta hai ke ye log Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Sahih Hadees ki roshni me amal nahi karna chah rahe hai balke ye log apne apne Jamaat ke Ameero  aur Buzrogo ki pairawi karna chah rahe hai. Isiliye Sahih Hadees ko Nazar Andaaz karte huye apne apne Ulma ki pairwi karte huye BARELWI ke paas SHAB-e-MERAAJ manana jayez hai aur DEOBANDIYO ke paas SHAB-e-BARAAT" manana jayez hai halanke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Sahih Hadees ki Roshni me Na "Shab-e-Meraj" manana jayez hai aur Nahi "Shab-e-Baraat" manana jayez hai.❌❌

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS