📮 *Layltul Qadr (लैलतुल क़द्र - Shab e Qadr) kya hai?*
◼ *'Layltul Qadr'* Yani *'Kismat likhi jane wali Raat'.* Ye Arabic alfaaz hai, jisko Urdu me 'Layl (लैल)' yani 'Raat ya 'Shab (शब)' kaha jata hai aur 'Qadr' yani 'Kismat'.
◼Is Raat Allah ki hukm se Farishte Nazil hote hai aur Farishte saare Insano ki Qadr (kismat) ko Allah ki janib se likhte hai jaisa ke aanewale Saal me kaunse Insan ko kitna Rizq milega wagaira. Insan ke Maut wa Hiyat ka bhi Faisla is Raat hota hai.
◼Ye Raat 1000 mahino se behtar hai. 1000 mahine 84 saal ke barabar hote hai.
◼Dusre alfaz me, is Raat jo bhi nek amal kiya jayega uska sawab 1000 mahino (yani 84 saal) tak amal karne ke barabar milega.
◼Maslan, aap agar is Raat 2 Rakaat Nafil Salaat (Namaz) adaa karte to ye aisa hi hoga ke aap ne 1000 mahine continue 2 Rakaat salat adaa ki hai. Dusri taraf agar aap is Raat 1 Rupiya Sadqa kiya ho to aapko 1000 mahine continue 1 Rupiya sadqa karne ka sawab milega. Isliye ye ek behtarin Raat hai Nekiya kamane ke liye.
◼Is Raat ko Ramadhan ke aakhri 10 raato me talash kiya jata hai, khaas ke aakhri 5 taak raato me (odd nights) yani 21, 23, 25, 27, 29 Ramadhan ki raato me.
🔴 *Is Raat ham kya ibadat kare?*
◼ Qur'an ki Tilawat
◼ Nafil Salat (Namaz)
◼ Sadqah Khayrat
◼ Dusre jitne bhi nek amaal hai
🔴 *Is Raat ki khaas Dua:*
◼Is Raat me ye dua ka khaas ehtamam kare kyunke ye dua Sunnat e Rasool se sabit hai:
🌷
َ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي .
*Tarjuma:*
*"Aye Allah tu Maaf karne wala hai aur Maafi ko pasand karta hai, pus to tu Mujhe Maaf kar de".*
📕IBN MAJAH: 3850; TIRMIDHI: 3760۔
🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
💫 *SIRF - _Salsabiil Islamic Research Foundation._*
💚 *May Allah accept our this small effort and May keep us away from RIYA.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴