📮 *NABUWAT SE PAHLE MUHAMMADUR RASOOLULLAH KAUNSE DEEN PAR THE?*
BismillahirRahmanNirRaheem
🌸Nabuwat se pahle ke zamane ko ZAMANE JAHILIYAT kaha jata hai lekin
Alhamdulillah, Janab Muhammadur Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) is jahiliyat ke daur me bhi DEEN-E-ISLAM par yani DEEN-E-FITRAT par qayam the.
🌸Yani unone Nabuwat se pahle kabhi SHIRK nahi kiya tha halanke Makka me Shirk ka mahol urooj par tha.
🌸Waise Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ne khud kaha ke har bachha Maa ke pet se Deen-e-fitrat par (Islam par) paida hota hai, lekin baad me uske maa baap usko Yahoodi, Nasara wagaira bana dete hai.
🌸Isi buniyad par Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) Deen-e-Fitrat par paida huye the aur Nabuwat se pahle bhi Deen e Islam par hi qayam the.
🌸Ahle Ilm ne kaha ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ke sath sath Makka ke dusre kuchh chand 7-8 afraad Deen e Islam par yani Tawheed par baqi the, baaqi pura ka pura Makka shirk me duba tha.
🌈 *Khulasa:*
🌸Nabuwat se pahle Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) Muslim the aur Tawheed par qayam the.