Ramzan ki Khush Khabri Dena.
﷽
Aaj kal Ek Message Ramzan ko lekar har mobile pe send kiya ja raha hai. Jab bhi Ramzan Aane wala hota hain to log message bhejne lagte ki jisne sabse pahle Ramzan ki khush khabri di uspar jahannum haram. ise kahi bhi send karne se parhez kare.Ye hadees RasoolAllah(sallahu alahi wasallam)ki hadeeso me kahi nahi paai jaati hai.
Ramzan 7th may ko shuru hoga in sha Allah.. Pyare nabi saw ne farmya jo ramzan ki khabar sb se phle kisi ko de uske liye jahannum ki aag haram hai..
Aap bhi kisi ko bol do taki AAP bhi jahannum ki aage se aazad ho jaye.
Ye galat msg banaya gaya hai.
Aur is msg me Rasool Allah (saw) ka naam lekar unse jhoot bat lagai gayi hai.
HOSHIYAAR
1.Kisi bhi islamic mahine ki khush khabri dene se jannat aur dozakh ka faisla nahi hota. Yah Jahil Logo Ka kam Hai Jinhe Quran-O-Sunnat Ka Ilm Nahi Hota wahi Khush khabri Dekar Jannat Aur Jahannum Ka Faisla Kar Dete Hai. Ramzan ek islamic mahina hai jiski sabko khabar hoti hai ke ab ye Mahina shuru ho raha.Iski khushkhabri dene se jannat wajib nahi hoti. Kyu Ke Hadeeso me iska koi bhi zikar nahi hai.Ha lekin Rasool Allah (saw) ne Ramzan ke ane par ye zarur kaha hai ke ye mahina rahmat ka hai isme Allah ne Roze rakhna farz kar diya hai. Lekin ❗jo ye bolta hai ke Aeisa Rasool Allah(sallahu alahi wasallam) ne farmaya ke jo sabse pahle iski khabar dega uspe jahannhum haram to Uska thikana to jahannum hai Kyu Ke aisa__Rasool Allah(sallahu alahi wasallam) ki hadeeso me bayan hai.Aur jo shaks har suni sunai bat ko aage badha deta hai wo jhoota hai Hamare Rasool Allah(sallahu alahi wasallam) ne farmaya.
To Aiye is bat ko hm hadeeso ke zariye se samjhte hain. Aur in hadeeso ki zad me aane Se khud bhi bachte hai aur dusro ko bhi bachate hai in shaa Allah.
1..📘✔Rasool Allah (sallahu alahi wasallam) ne farmaya; “Mat jhoot bandho mere upar, jo koi mujhpe jhoot bandhega wo jahannum me jayega.”
Sahi bukhari ,kitabul ilm hadees no.106
2.”Rasool Allah(sallahu alahi wasallam) ne farmaya kisi shaks ke jhutha hone ke liye yahi bat kaafi hai ki wo har suni sunai baat ko aage bayan karde.
📚Muqaddama Sahi Muslim Hadess no.9
3. Rasool Allah(sallahu alahi wasallam) ne farmaya” Ae logo ye barkat wala Mahina tumhare nazdeek aaya hai aur Allah ne ye hukm diya hai ki tum is mahine me roze rakho. Is mahine me Jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jate hai aur shaitano ko jakad diya jata hai. Aur is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo sach me ek mahrum shaks hai.”
[ 📚Reported by al-Nisaa’i, 4/129; Saheeh al-Targheeb, 1/490 ]
Ummid hai k ab baat samjh agai hogi.In shaa Allah … Lehaza hame chahiye ke is tarah k msgs ko forward karne se bache aur ham in mahino me beshumar ibadate kare ,agar koi Allah ka banda ibadat karle to agar Allah chahega to us ibadat ke badle jannat me dakhil kar sakta hai.In shaa Allah.
⛔YAAD RAKHNE WALI BATEIN
1.Koi bhi khushkhabri Allah paak hi de sakta hai .10 logo ko msg send karne se khushkhabri nahi milti.
2.Pyare nabi(sallahu alahi wasallam) ki Qasam de kar msg forward karne ko kahna haram hai.Qki qasam sirf Allah ki khai ja sakti hai.
3.Pyare Nabi-E-Akram (sallahu alahi wasallam) aur bibi fatima aur bibi zainab ke khwab me ane wale msg ko forward na kare.
4.Koi bhi Quran ki ayat ya Hadees ya kisi sahaba ka qaul tahqeeq kiye baghair forward na kare.
Jazakallaho Khair
No comments:
Post a Comment