find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shab e Baraat Se Joodi Zaeef Hadees Ki Riwayat.

Shab e baraat ki hakikat aur usse judi Zaeef hadees. 

شب برات شریعت میں منانا کیسا ہے؟

Shaban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Mein Jo Bhi Hadeesen Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Hain …
Isi Tarha Is Raat Ki Ibadaton ke silsile Mein Jo Bhi hadees bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo (unAuthentic) Hain!


Shaban se mutaliq Zaeef Ahadees
Zaeef Rawayet No. 1
Ravi: Hazrat Ayesha (Radiyallahu Anha),
Nabi ﷺ ne farmaya: "Bila'shuba Allah 15 shaban (shab e barat) ki rat ko asman-e-duniya ki traf nazool frmatay hain Aur banu kalb ki bakrion kay balon (hair) k brabar afrad ko bakhshtey hain. [-Tirmzi 739-] [-Ibn-e-maja 1389-]
Tahqeeq
Imam Tirmzi khud frmatey hain ke mainey Imam Bukhari ko yeh frmatey huye suna k' yeh hadees zaeef ha isey yahya (ibn e abi kaser) ney Arva se suna hi nahi Aur na hajaj ney yahya se suna hai. Or yeh dono Ravi tamam muhadesen ke nazdeek mudalis hen.
Ref: [-Al jarah wa tadeel 273/3-]
[-Tareekh e bagdad 225/8-]
Zaeef Rawayet No. 2
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jis ney nisaf shaban (15 shaban) ki rat 100 rakat namaz padhi, Allah iski har hajat pori kar dega" [-Al fawaid al majmoa,page 51-]
Tahqeeq
Ya Riwayat Mouzu/jhoothi (manghadant) hai. Mula Ali Qari hanfi frmatey hain k' Nisaf shaban ki rat (shab e barat) ko 100 rakat ya 1000 rakat namaz kisi bhi sahi hadees se sabit nahi. [-al markat (sharah mishkat) 
388/3-]

Tahqeeq 2
Hafiz ibn e qaiyam farmatey hain k'
15 shaban ki rat me khas namaz wali riwayat mein se kuch bhi sabit nahi.
[-al manar ul muneef,page 98-]
Zaeef Riwayet No. 3
Ravi: Hazrat ALI (Radiyallahu Anhu)
Nabi ﷺ ney frmaya:
"PAS jo shahks 15 shaban ka roza rakhega to isey guzishta 8 saal Aur ainda 60 saal key rozon ki tarha (ajar o swab) hoga. [-Tohfa ul al hozi 505/3-]
Tahqeeq
Imam ibne jozi farmatey hain yeh hadees mouzu hai Aur iski sanad siyah tareen hai.
Zaeef Riwayet No. 4
Ravi: Hazrat Abu bakar (Radiyallahu Anhu)
Nabi ﷺ  ne frmaya:
"Jb 15 shaban ki rat hoti hai ALLAH asman e duniya par tashreef latey hain pas mushrik Aur apas mein dushmani rakhney walon ke Alawa tamam bandon ko bakhash deta hai. [-Bahqi 3727-]
Tahqeeq
Is sanad me Abdul Malik Aur musab bin abi za'eb par jirah hai.
Hafiz ibn e haban ne isey munkir ul hades kha hai. [-kitab ul majroheen 136/2-]
Yaad rahe k aisi koi raat ka saboot SAHIH HADITH mein nahi milta yeh raat manana sirey se BIDDAT hai.
Yeh raat SOOFIYUN (ya rafziyun) ki ijaad karda hai Aur wazeh Alfaaz main SAHIH MUSLIM main aya hai k in SOOFIYUN se bara jhoota koi nahi.
وحَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ أَبِي عَتَّابٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي عَفَّانُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ الْقَطَّانِ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: «لَمْ نَرَ الصَّالِحِينَ فِي شَيْءٍ أَكْذَبَ مِنْهُمْ فِي الْحَدِيثِ» [ص:18] قَالَ ابْنُ أَبِي عَتَّابٍ: فَلَقِيتُ أَنَا مُحَمَّدَ بْنَ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ الْقَطَّانَ، فَسَأَلْتُهُ عَنْهُ، فَقَالَ: عَنْ أَبِيهِ، «لَمْ تَرَ أَهْلَ الْخَيْرِ فِي شَيْءٍ أَكْذَبَ مِنْهُمْ فِي الْحَدِيثِ». قَالَ مُسْلِمٌ:    يَقُولُ: يَجْرِي الْكَذِبُ عَلَى لِسَانِهِمْ، وَلَا يَتَعَمَّدُونَ الْكَذِبَ
Yahya bin Sayeed Qatan bayan karte hain ki hamne Sufiyon (Neik logon) ko Hadith se badhkar kisi Aur Chiz me Jutha Nahi Paya.
[-Muslim, Jild#1, Muqaddimah, Pg.#38-]
Is rat ki sab se Ahem bat ye hai ke log is rat ko QABRiSTAAN jatey hain ... Or daleel ke taur par Tirmizi  ki ye RIWAYAT pesh kartey hai ke Ek raat NABI ﷺ ki aankh khul gayi to woh BAQIH k QABRISTAAN gaye. Kyunke JIBRAIL (Alaihissalam) in k pas aaye They Aur kaha k aaj NISF SHUBAN ki rat hai is liye BAQIH ja kar MURDOON ki Bakhshish ke liye DUA karein.
TIRMIDHI ki is RIWAYAT ko buniyaad bana kar log is rat QABRiSTAN jatey hain halak'e yeh Jhoothi Hai.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS