Har Mahine 13, 14, Aur 15 Ke Roze Rakhne Ka Sawab Hamesha Roze Rakhne Ke Barabar Hai.
Hazrat Qatadah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humko Ayyam Al-baid yani har mahine mein 13,14, aur 15 tarikh ke roze rakhne ka hukm farmate aur ye bhi farmaya ki iska sawab itna hai jitna hamesha roze rakhne ka.
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 677 -Sahih
Hazrat Jarir bin 'Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya har maah mein teen roze rakhna hamesha ke (zindagi bhar) roze rakhne ke barabar hai, Aur chamkte huye Ayaam Al baid 13, 14, aur 15 hain.
(inko Ayyam Al baid isliye kahte hain kyunki in raato mein chand ki roshni ekdam safed aur saaf hoti hai )
📒Sunan Nasaii, jild 2,331-Sahih
Hazrat Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumko mahine mein kabhi bhi roze rakhne ho to 13,14 aur 15 tarikh ka roza rakho.
Sunan Nasaii, Jild 2,335-Hasan
No comments:
Post a Comment