find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ya Allah Tu meri Maghfirat Farma.

Aye ALLAH , Tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad me mujhse hone wale hain

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​
كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَدْعُو مِنَ اللَّيْلِ
اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، قَوْلُكَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَأَسْرَرْتُ وَأَعْلَنْتُ، أَنْتَ إِلَهِي لاَ إِلَهَ لِي غَيْرُ
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wasallam raat ko ALLAH se ye dua kiya karte the
Aye ALLAH tere hi liye taarif hai , tu Aasman aur zameen ka RAB hai
Aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai Aur un sabka jo kuch usme hai
Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai
Tera qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai
Aye ALLAH maine tere hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya Maine tere hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya
maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hun
Tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hun aur jo baad me mujhse hone wale hain.
Jo gunah maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye wo maaf farma Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi.   Sahih Bukhari, Jild 8, 7385,
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS