find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Murde Sunte hain aur Salaam ka Jawab dete hai?

KYA MURDE SUUNTE HAIN AUR SALAAM KA JAWAB DETE HAIN

Be-shak aap (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam) murdon ko nahi suna sakte* aur na behron ko  ( apni )  awaz suna sakte hain jab ke woh peeth pher ker marr gaye hon.
(Surah Room: Aayet 52)
Aur Zinde aur Murde barabar nahi ho sakte, Allah jisko chaahta hai suna deta hai aur Aye Nabi! Tum un logo ko nahi suna sakte jo QABRO mein hain.
iss Aayet me Allah Taa'la Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bol rahe hai, Aap murdon ko nahi suna sakte....
Toh kya hum aur Qabron par salam karenge to woh jawab de sakte hai❓
❌ BILKUL NAHI ❌
Qabr walo k liye ya jab koi Qabr k pass se guzre to unke liye ek dua hai...
«السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ، مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لاَحِقُونَ، [وَيَرْحَمُ اللَّهُ الْمُسْتَقدِمِينَ مِنَّا وَالْمُسْتأْخِرِينَ] أَسْاَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ».
 Sahih Muslim 295
 Ibn e Maajha 494
(Surah Fatir: Aayet 22)
Aur us shaksh se badh kar koun gumrah ho sakta hai, jo aiso ko pukaare, jo Qayamat tak usey jawaab na de sake aur inko unke pukaarne hi ki khabar na ho.
(  :Surah Ehkaaf 46 Aayet 5 )
Share:

2 comments:

  1. jhuthe kazzab .. surh ROOM ayat 52 me aisa koi tarjama hai hi nahi

    ReplyDelete
  2. Ayat 22 me kuffar murdo ke baare me likha hai akal ke andhe aur jo tune dua di hai uska tarzuma kya hai

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS