find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah Tala unke Dilon Pe Muher Lga Dega Fir Wo Gafilon me se ho jayenge.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                  
         *اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*

    ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Hadith: Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey

Urdu Translation:

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne apney mimbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chorh deney) se baaz rahna chahiye nahi to ALLAH taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey

{Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)}

BISMILLAH-IRRAHMAN-NIRRAHIM

Hadith : Jumma ke din jannati log Jannat ke Baazar mein jaynegey aur.

Urdu Translation:

Anas bin malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollalah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya jannat mein ek bazar hai jismein jannati log har jumaa ke din jama hongey phir shumali hawa(North wind) chalegi aur wahan ka gubar (jo mushk aur zafran hai) unkey chehron aur kapdon par padega jis sey unka husn aur jamaal ziyada ho jayega phir palat aayngey apney gharwalon ki taraf aur gharwalon ka bhi husn aur jamal badh gaya hoga so unsey unkey gharwaley kahnegy ki tumhara husn aur jamal hamare baad to bahut badh gaya hai phir wo jawab dengey ki Allah ki kasam tumhara bhi husn aur jamaal hamarey baad bad gaya hai

{Sahih Muslim , 7146 }

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS