find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jibrill Alaislam ki 3 baddua aur Nabi Sallahu Alaihi Wasallam ki Aameen.

*Bismilahirrahmanirrahim*
*Jibril Alaihi Salam ki 3 baddua aur Rasool Allah ﷺ ka Aaameen*
-----------------------------------------
✦ *Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek din Rasool Allah ﷺ ne minbar laane Ka hukum diya Jab Aap ﷺ ne pahli sidhi par qadam rakha to farmaye AAMEEN ! Phir dusri Sidhi par qadam rakha to farmaye: AAMEEN !Phir teesri Sidhi per qadam rakha to farmaya : AAMEEN*
✦ *Khutba se farig hone ke bad jab Aap ﷺ Minbar se neeche tashrif laaye to Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya Aaj Aap ﷺ se aise baat suni Jo us se pehle nahi suni thi, Aap ﷺ ne farmaya Hazrat Jibrail Alaihi salam tashrif laye aur kahan Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo (ibadat aur tauba ke jariye) apne gunah nahi bakhshwa saka to wo dozakh mein dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho Gaya Aap us per AAMEEN kahiye, Meine kahan AAMEEN.*
✦ *Phir jab maine dusri Sidhi per qadam rekha to Hazrat Jibrail Alaihi Salam ne kaha Jiske samne uske Maa Baap ya dono Mai se ek budhape ki Umar ko pahunch jaye aur wo unki khidmat ker ke Jannat hasil na keren to wo bhi dozakh mai dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho Gaya Aap us per bhi AAMEEN kahiye ,Meine kahan AAMEEN.*
✦ *Phir jab maine teesri Sidhi per qadam rakha to Hazrat Jibrail Alaihi Salam ne kaha Jiske samne Aap Sal-Allahu Alahai Wasallam Ka naam liya jaye aur wo Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam per Durud na bheje to wo dozakh mai dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho gaya Aap us per bhi AAMEEN kahiye maine kahan AAMEEN*
Sahi Ibn Hibbaan: 915, Saheeh al-Targheeb:1679, Shubbul Iman Baihiqi: 3343

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS