Home »
Ramzan
» Kin Halat Me Auraton Ke Roza Toot Jata Hai?
RAMADHAN KE MUKHTASAR MASAIL
As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh
Bismillahirrahmanirraheem ..
▶ Allah Rabbul Alameen Farmata hai :
''Ramzan wo Mahina hai jisme Quraan Nazil keya gaya (yaani looh e Mahfooz se Dunyawi Asmaan per Utara gaya) , jo logo k leye Hidayat hai Aur Esme Hidayat k leye Aur hak wa batil me Fark karne k leye Dalill hai,Tum me jo Saks es Mahina me Maouzud ho wo eske Roze Rakhe''
[Sureh bakra ,Ayat no-185]
1Jannat me (8 darwaza hai usme se) ek Darwaza ka Naam ''Reyyan '' hai, jisme serf Rozedaar he Dakhil honge.
[Sahi Bukhari ,hadees no-1896,
Sahi Muslim hadees no-1152]
2⃣ Jibarayel A.S Rasulullah (s.a.w) k pass aye Aur kaha :
jis Saks ne Ramzan k Mahina paya Aur apne Gunaho ki Baksis Aur Magfirat Hasil Na karwa saka tou ayse Saks k leye Halakat (barbaadi) hai, eske jawab me Rasulullah (s.a.w) ne ''Aameen'' kahi (Aye Allah Jibrayel A.S ki yah Baddua kabul Farmale) !
[Sahihuttargib : hadees no-1679, Sahi]
3⃣ Haiz (Period) ya Nefaas (Postpartum period) ki Halat me Aurat ko Roza Aur Namaz Maaf hai, Leken Baad me Kaza Roza Rakhna jaruri hai,Namaz Maaf hai.[Sahi Muslim hadees no-335]
4⃣ Ager Ramzan me (Roze ki Wajah se) Hamla(pregnant)ko Apne leye ya Dood pelane waali ko bacche per khatra Mahsus ho tou Roza Na Rakhne ki Izazat hai- baad me Ager chahe tou Roza ki kaza kar le, Rakhne me Tarteb Jaruri nahi, leken Ager Kaza k Erada Na ho tou her Din Roze k badle ek misken ko khana khilaye.
[Eske Wajahat k leye Dekhe] Abu Daood hadees no-2308,
Hasan Sahi-Abdullah Ibn Abbas Aur Abdullah Ibn Umar r.a k Qoul k leye :
Dare kutni jild-2/207- Tafseerultatbeer Al Bakra 184,
Irwa ul Galil : 4/19-912]
5⃣ Hamla ya Dood pilane wale ko Asar Na ho tou Sehat Mand ho tou Ramzan me Roza Rakhna Jaruri hai.
[Fatawa Ibn Usaimen : 1/487]
6⃣ Ahtalam ya Jima (humbistari) ki wajah se (Aurat ya Mard) jumbe (Napaak) hone ki Halat me v Sehre karke Roza Rakhna jaiz hai, Baad me Rasulullah (s.a.w) Fazar ki Namaz se pahle Gusul kar lete the (Sehre se pahle Waju karna behtar hai).
[Sahi Bukhari hadees no-1931,
Sahi Muslim hadees no-1109]
7⃣ Roza ki Halat me yah kaam jaiz hai :
(A)-Tail lagana, kangha karna, apna thuk negalna, taazi ya sukhi Miswak kisi v Waqt karna.
[Sahi Bukhari,kablal hadees :1930]
(B)-Ager apne Sehwat (jajbaat) per kaabu Rakhne ki Takat hai tou Sarek e Hayat yaani Biwi ko Bosa (kiss) Wagaira jaiz hai, Serf Jima (samvoog, Sex) Haram hai.
[Bukhari, kabla hadees no-1927,
Sahi Muslim hadees no-1108]
(C)-Elaaz k leye Diabetes k Inzeksan Lagana jaiz hai.
[Fatawa Aljanna Addaim: 10/252]
(D)-Roza apne Aap kaie (ulti,Vomit) Aane se Nahi tut ta hai, leken jaan bujh kar kaie karne se Roza tut jata hai.
[Abu Daood hadees no-2380, sahi]
(E) Mendi Lagane ,Surma lagane ,Nakhun katne ya bacche ko Dood pilane se Roza Nahi tut ta hai.
[Fika ul Ahadees : kittabussiyam]
(F) Daadi (Beard) k elawa Her jagah k Baal katna jaiz hai, leken yah yaad rahe k Ramzan ho ya Gair-Ramzan Daadi Mundna har haal me Haram hai kuki Rasulullah(s.a.w) se Daadi Mundna ya katna Sabit Nahi.
[dekhe : Sahi Muslim 259- ahkaam o Masail :668]
8Rasulullah (s.a.w) ne Faramay : Momin ki Behtareen Sehri Khazur hai. (esleye Sehri me Khazur khana Afzal hai)
[Abu Daood hadees no-2345 sahi
No comments:
Post a Comment