find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Hm Tauheed Samajh Chuke Hai?

Kiya Hum Tauheed Samaj Chuke Hai ?

Saleh bin Abdul-Aziz Al ash-Sheikh

Tarjuma : Tariq Ali barohi 

Masdr : sharh kashf al shubuhat 

Shaykh al - islam Muhammad ban abdul wahab Rahimaullah  ka yeh farmana :

'' kisi jaahil ke is qoul ki Maarfat se ke : ( hum to tauheed ko samajh chuke hain ) hamein yeh maloom huwa ke yeh sab se badi jahalat hai  aur shaitaan ki chaal hai' ' .
Shaykh Saleh al shaikh Hafidaullah farmatay hain :
yeh qoul ke' ' hum to tauheed samajh chuke hain' ' imam ud dawah Shaykh Muhammad bin abdul wahab Rahimaullah  ke baaz talamuza ne  kaha, yeh baat un ke ek dars mein unho ne ki  .
kyun ke  jab inho ne kitaab ut tauheed parha kar aur is ke masail samgha kar khatam farmaya to chaha ke usay wapas se shayad teesri ya chothi baar shuru kardiya jaye .
jis par un ke shagrdon ne  arz kiya Shaykh ! hum ab koi doosri kitaab parhna chahtay hain jaisay fiqa ya hadees ki kitaab .
Shaykh ne jawab mein farmaya : kyun ?
to shagrdon naay jawab diya : darasal hum tauheed ko achi terhan se samajh chuke hain, isi liye hum koi doosra ilm chahtay hain .
Shaykh ne farmaya : mujhe kuch mohlat do, mein is maslay par zara ghhor karkay batao ga .
kuch dinon baad Shaykh dars ke liye tashreef laaye aur shagirdon ne dekha ke Shaykh ke chehray par pareshani ke assaar numaya they .
unhon ne kaha : Shaykh ke chehray ko kiya huwa? !
Shaykh ne farmaya : mujhe aisi baat pohanchi hai jis ne mere chehray ko bigaara hai .
unhon ne poocha : aakhir woh kya baat hai ?
to Shaykh naay farmaya ke : mujhe kisi naay yeh khabar di ke  Dar'aiya (درعیہ) mein falan ghar ke makeeno ne ek murga –apne ghar ki dehleez par is mein daakhil honay se pehle zibah kya hai, yani woh is ghar mein shift hona chahtay they to is ke darwazay ke paas ek murga zibah kya aur is ka khoon is ki chokhat par bahaya, aur mein 1 shakhs ko is baat ki tasdeeq karwane ke liye bhaij chuka hon, phir is baray mein jo iqdaam hum par wajib hoga hum woh karen ge .
doosre  din jab Shaykh tashreef laaye to unhon ne poocha : ya Shaykh ! is ka kya maamla huwa jo aap ne bataya tha. .. ?
farmaya : ( tasdeeq karne par maloom huwa ke ) is ne wahan jaakar kuch aur hi baat payi
inho ne poocha : is ne kya paaya ?
aap ne  un se farmaya : is ne paaya ke ghar walon ne aisa nahi kya ( yani غیراللہ ke liye koi janwar zibah nahi kya tha ), balkay wahan koi shakhs tha jis ne apni maa ke sath badkaari ki thi .
is baat par un ke shagrdon ko shadeed dhachka laga aur sab be sakhta pukaar utthay : navz ballh! is naay apni maa ke sath badkaari ki! ! naudhubillah! is ne apni maa ke sath badkaari ki! !. . .
is waqea ki nishandahi karne ke baad Shaykh Saleh al shaikh ( jo khud bhi Shaykh al - islam Mohammad bin abdul wahab ke پڑپوتوں mein se hain ) farmatay hain ke Shaykh al - islam Rahimaullah ne yeh waqea is liye bayan farmaya tha ke kisi jaahil ka yeh kehna ke :' ' hum toheed ko samajh chuke hain' ' bohat barri jahalat aur shetan ki barri chalon mein se ek hai. kyunkay inhone ( maa ke sath badkaari ke ) kabira gunah ko shirk se barh kar giran tasawwur kya, jabkay Allah taala ke sath shirk karna jo ke insaan ko islam se hi kharij kar deta hai usay un ke dilon ne itna bura nahi jana. un ke dilon ne is soorat ko ke darwazay ki chokhat par khoon bahaya jaye is mein shift honay se pehlay ko kyun is qader munkir nahi jana? kyunkay woh yeh jantay they ke aisa jaanat ka taqarab haasil karne ke liye kya jata hai un ke shar ko rafa dafaa karne ya phir nazar laganay walon ke shar se bachney ke liye ( yani koi anokhi baat nahi! ), halaank yeh zibah ke zariye غیراللہ ka taqarab haasil karna hai aur yeh bilashuba Allah taala ke haq mein shirk akbar hai .
pas inhone kabira gunaaho mein se aik kabira gunah ko to itna bara aur azeem jana lekin Allah taala ke sath shirk akbar ko yun azeem aur bara nahi jana. jaissa ke yahi haalat aaj bhi hai ke aap baaz jahilon ko dekhte hain ke jab woh kisi kabira gunah ka irtikaab hotay dekhte hain to shadeed Ghaizez o ghazab  mein aajate hain, uthte baithtay hain gharz be chain ho jatay hain, magar jab woh Shirk akbar ka suntay hain to yeh baat un mein kisi harkat ka baa'is nahi banti. yani aap inhen payen ge jab woh kuch ikhlaq se mutaliq Munkirat ka suntay hain ya phir zina ya wasail zina ke mutaliq baaz mumalik mein ya aurton ki be pardaghi ya baaz fisq o fizoor ya is jaisi baatein ( rishwat o sood o crupption o qatl o ghart waghera ) to uth kharray hotay hain aur be chain ho jatay hain aur baatein sunana shuru kardete hain. lekin shirk akbar ke baray mein ke woh mazaar waqbah dekh raha hai jis ke neechay Allah taala ke siwa kisi ki ibadat ki jati hai, ya logon ko shirk karte hue dekh raha hai jaisay gairullah ke liye zibah ( aur nazr o niyaz wagerah ), ya kisi magazine ya kitaab mein usay parhta hai to  ka dil Allah ke sab se azeem haq ke liye harkat nahi karta .
yeh is ki jahalat o ghumrahyi ki Daleel hai, jo yeh saabit karti hai ke woh apni zaat ki Maslehat ko hi nahi samjhta, kyunkay be shak yeh jaahil agar tauheed ko nahi samjhta aur is ka dil Allah ke is haq ke liye ke is akailey ki gheiron se siwa ibadat ho gaiz o ghazab  ka shikaar nahi hota to kuch shak nahi ke aisa shakhs shar par hai. agar woh –apne nafs mein paata hai ke woh kisi munkir ko dekh kar shadeed Ghaiz o ghazab ka shikaar hota hai lekin Allah taala ke sath kya janey wala shirk akbar is ke sukoon qalb mein junbish ka baa'is nahi hota to woh yeh jaan le ke is ne tauheed ko samjha hi nahi hai aur na Allah taala ki kama haqa tazeem ki hai .
pas yeh jo kehte hain ke' ' hum tauheed samajh chuke hain' ' jaahil hain aur shetan apni sab se barri chalon ke sath un par daakhil hochuka hai, jaissa ke Sheikh Rahimaullah nae farmaya, Allah taala inhen jzaye kher Ata farmaiye .
Romainsed By : Abu Muhmmad Iqbal Alhindy
Tauheed Se Joodi KUchh Shirkiya KAlmaat 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS