TAUHEED E SIFAAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR
1 Umoor e qainaat aur nizm e kainaat ki tadbeer mein Allah ta'ala k siwa kisi doose Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
2_Zameen wa aasman k tamaam khazano mein tasarruf ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hai is mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
3 Qayamat k rooz kisi ko sifarish kane ki ijazat dene ya na dene, sifarish qubool karne ya na karne, kisi ko sawab ya azaab dene, kisi ko pakadne ya choodne ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hoga, Allah ta'ala k is ikhtayaar mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
4⃣ _Gaib ka ilm rakhne wala aur har jagah hazir wa naazir sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
5⃣ _Dilo ko phairne wala, hidayat dene wala, naiki ki tofeed dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
6⃣ _Rizk ki tangi ya faraakhi, sehat aur beemari, nafa aur nuksan, zindagi aur maut dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna SHIRK hai.
7⃣ _Aulaad dene ya na dene wala aur baitiya dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko is par qaadir samajhna SHIRK hai._
8⃣ _Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna SHIRK hai._
8⃣ _Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna SHIRK hai._
9⃣ _Dilo mein chupey raaz aur bhaid sirf Allah ta'ala hi jaanta hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah k baare mein ye aqeedah rakhna SHIRK hai.
DUAA
Allah ta’ala se dua hai k Allah ta’ala hamey _"TAUHEED E RABUBIYAT , TAUHEED E ULUHIYAT, TAUHEED E ASMA WA SIFAAT"_ ko samajhne ki aur is par amal karne ki, aur tauheed ki dawat dene ki taufeeq ata farmaye. aur hamey marte dumm tak tauheed par datey rehne ki taufeeq ata farmaye. aur hamara khatima bhi tauheed par ho.
*(AAMEEN YA RABBAL ALAMEEN)
*(AAMEEN YA RABBAL ALAMEEN)
*_mohammed shahnawaz from bangalore_
No comments:
Post a Comment