find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Biwi ko Nafil Roza Rakhne Se Pahle Shauher Se Isazat Leni Chahiye.

BIWI KO NAFLI ROZA RAKHNE SE PAHLE SHAUHAR SE IJAAZAT LENI CHAHIYE

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Shauhar Ka Biwi Par Ye Bhi Haq Hai Ke Jab Wah Ghar Par Maujood Ho Aur Kisi Safar Par Na Nikla Ho Toh Wah Koi Bhi Nafli Roza Uski Ijaazat Ke Be'ghair Na Rakhe
Kyonke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Kisi Aurat Ke Liye Jayez Nahin Ke Uska Shauhar Maujood Ho Aur Wah Uski Ijaazat Ke Be'ghair Roza Rakhe. Sahih Bukhari H.No 5192, Sahih Muslim H.No 1026
Imam Nawawi Rh  Sharah Muslim Me Farmate Hain Is Hurmat Ka Sabab Ye Hai Ke Shauhar Ko Har Waqt Usse Lutf'andozi Ka Haq Haasil Hai.Aur Uska Ye Haq Fauri taur Par Waajib Hota Hai Na Ke Taakheeri Waajib
Lihaaza Nafil Ke Saath Usko Zaaye Nahin Kiya Ja Sakta.
Balke Uski Ijaazat Ke Be'ghair Uske Liye Roza Jayez Hi Nahin.
Lihaaza Wah Jab Usse Lutf'kashi Ka Iraada Kare Toh Uske Liye Jayez Hoga Aur Uska Roza Faasid Ho Jaayega
Wallahu Alam.  Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul Aameen.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS