find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam Me Biwiyon Ke Huqooq (Part 3).

Islam ME Biwiyon Ke Huqooq (PArt 3)

Nabi e Rehmat ﷺ ne farmaya mo'mineen me iman ke lihaaz se kaamil iman wala wo hai, his ke akhlaaq Sabse behtar hain,aur unme behtreen log wo hain jo apni biwiyon ke liye behtreen  hai.
Jam e Tirmazi H # 3895
Musnad Ahmed H # 7133, 9153
Mishkaat UL masabeeh H # 3252
Ye ap ﷺ  ka farmaan tha ab unki biwiyon (ummhatul mo'mineen) ka  ka farmaan bhi suniye :-
Momino ki maa sayyada Ayesha salamullah alaiha farmati hain ke wo 1 Safar me nabi ﷺ ke saath thi maine ap ﷺ se dod (race)ka muqabla Kiya, to me Jeet gayi, phir jab mera badan bhaari ho Gaya to Maine ap ﷺ  se (dobara) muqabla kiya, to ap ﷺ Jeet Gaye, is par ap ﷺ ne farmaya  *ye Jeet us Jeet ke badle hai*
*(Ya'ni shohar aur biwi me is kadar  hasi mazaak ho sakta hai)*
Abu Dawood H # 2578
Ibn e Maja H # 1979
Silsila tus sahiha H # 1945
Musnad Ahmad H # 5169, 7872, 7873
Mishkaat H # 3251
Lekin hamare sub continent ke culture me jab kisi ki shaadi hone lagti hai to *badi Umar ke log kehte hain ke pehle din hi Biwi Ko control kar lo (aur ISI wajah se muaamlat kharaab hote hain)*
Biwiyon ke saath husne sulook karna, ahtraam ke saath Pesh ana, muhabbat karna, ye sab cheezein sawaab me dakhil hain

Rasool e khuda ﷺ ne farmaya :- hatta ke us luqme par bhi sawaab milega jo tum apni Biwi ke muh me rakhoge
Sahih Bukhari H # 1295, 2742, 4409, 5354
Sahih Bukhari H # 5668, 6373, 6733
Jam e Tirmazi H # 2116
Abu Dawood H # 2864
Musnad Ahmad H # 6324, 7260
Sahih Bukhari H # 5096
Sahih Muslim H # 6946, 6948
Jam e Tirmazi H # 2780
Ibn e Maja H # 3998
Silsila tus sahiha H # 2706
Musnad Ahmad H # 10042
Mishkat H # 3085
To be continued in Sha allah.......
*Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS