find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Masjid me Auraton ko Jane se Rokne walo ko Allah ke Rasool ka Farman.

Masjid me Auraton ko jaane se rokne waalon ko Allaah ke Rasool sallaahu alaihi wasallam or Sahaba R.A ki Naseehat

Bade afsos ki bat hai k khwateen ko Allaah k ghar jaane se rokne waale hazrat ko us waqt to koi problem nahi hoti jab unke ghar ki orten bazaron, hotels or deegar public places par jaati hain,Dukano par na mehram mardon se lenden karti hai, kai gharon ki orten cinema gharon tak me jaati hain yahan tak k na mehram choodi pehnane waalon se choodiyan tak pehenti hain.
Bababo se hath pakadwakar chhu chha bhi karwati hain. Hairat ki bat ye hai k aese fitna parwar or ghair sharai kaam karne k bawajood bhi unke ghairatmand mardon ki nigah me fitna nahi phailta.
Lekin jaise hi koi khatoon Allaah k ghar me uski ibadat karne ya deen seekhne k liye jaati hain to in bhaiyon k liye orton ka masjid me jaana fitna ban jaata hai . Or wo apne ulma ki taqleed k chakkar me Rasool s.a.w k hukm ki mukhalefat karne baith jaate hain.
Aese hi bhaiyon k liye Allaah k Rasool s.a.w or sahaba r.a ki ye Naseehate yad rakhni chahiye.
1       Sahih Bukhari Hadees # 900
Umar razi Allah anho ki Ek biwi Theen jo subah aur esha ki namaz jamaat se parhnay ke liye masjid mein aaya karti theen. un se kaha gaya ke bawajood is ilm ke ke Umar razi Allah anho is baat ko makrooh jantay hain aur woh ghairat mehsoos karte hain phir aap masjid mein kyun jati hain. is par unhon ne jawab diya ke phir woh mujhe mana kyun nahi kar dete. logon ne kaha ke rasoolAllah sallAllahu aleh wasalam ki is hadees ki wajah se ke Allah ki bndyon ko Allah ki masjidoon mein anay se mat roko
Sahih Hadees
2       Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 16
Rasool Allah sallAllahu aleh wassalam ne farmaya : tum Allah ki bandion ( aurton ) ko masjid mein namaz parhnay se nah roko, to un ke aik betay ne un se kaha : hum to inhen zaroor rokain ge, yeh sun kar Ibn Umar razi Allah anhuma sakht naraaz hue aur bolay : mein tum se rasool Allah sale Allah aleh wassalam ki hadees bayan kar raha hon aur tum kehte ho ke hum inhen zaroor rokain ge?
Sahih Hadees
3     Jam e Tirmazi Hadees # 3122
Ek khobsorat aurat rasool Allah sale Allah alaihi wassalam ke peechay ( aurton ki safon mein ) namaz parha karti thi to baaz log agay barh kar pehli saf mein ho jatay thay taakay woh usay nah dekh saken aur baaz agay se peechay aa kar aakhri saf mein ho jatay thay ( aurton ki saf se mili hui saf mein ) phir jab woh ruku mein jatay to apni baghlo ke neechay se usay dekhte, is mauqa par Allah Taala ny aayat « ولقد علمنا المستقدمین منكم ولقد علمنا المستأخرین » ”Hum khoob jantay hain un logon ko jo agay barh jane walay hain aur un logon ko bhi jo peechay hatt jane walay hain“ ( الحجر : ۲۴ ), nazil farmai.
Sahih Hadees
Share:

1 comment:

  1. Bahut achi INFORMATION hai yah.
    Jo log aurato ko Masjid aur Eidgaah me aane jaane pe pabandi lagate hai wahi log aaj kal Aurato ki Jamaat banakar gaon-gaon fira rahe hai.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS