🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌹وَحَدَّثَنَا هَارُونُ بْنُ مَعْرُوفٍ، وَإِسْحَاقُ بْنُ مُوسَى الْأَنْصَارِيُّ، قَالَا: حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ عِيَاضٍ، حَدَّثَنِي ابْنُ أَبِي ذُبَابٍ، فِي رِوَايَةِ هَارُونَ، وَفِي حَدِيثِ الْأَنْصَارِيِّ، حَدَّثَنِي الْحَارِثُ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ مِهْرَانَ، مَوْلَى أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «أَحَبُّ الْبِلَادِ إِلَى اللهِ مَسَاجِدُهَا، وَأَبْغَضُ الْبِلَادِ إِلَى اللهِ أَسْوَاقُهَا»
🌹Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”shehron mein pyari jagah Allah ke nazdeek masjiden hain aur Allah ke nazdeek ( insani ) abadiyon ka sab se naa pasandeedah hissa unke bazaar hain.“
🌺رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”شہروں میں پیاری جگہ اللہ كے نزدیك مسجدیں ہیں اور ‘ اللہ کے نزدیک ( انسانی ) آبادیوں کا سب سے ناپسندیدہ حصہ ان کے بازار ہیں“۔
🌹The messenger of Allah ﷺ said: 'The parts of land dearest to Allah are its mosques, and the parts most hateful to Allah are markets.'
📜 *wazahat:* beshak masajid duniya ki sab se pakeezah jagah hai, jahan banda apne rab ki ibadat kar apne rab ka Qurb talaash karta hai, iss lihaaz se masjid Allah rabbul izzat ke nazdeek sab se pasandeedah jagah hai.
Allah ke nazdeek sab se zeyada naa pasand jagah bazaar hai, wo isliye, aksar bazaron mein masroof log Allah ki ibadat (namaz) se ghafil ho jaate hain, yahi bazar jahan mehram, na-mehram, mard wa aurat apas mein ghul mil jaane ki wajah se sharam wa haya ka khayal nahi rakh paate. Nabi kareem ﷺ ne bazaron mein baithne wale ko raaste ka haq ada karne ka hukm farmaya: gair mehram aurton ko dekh kar nigahe nichi kar lo, raah chalne walo ko naa satana, salaam ka jawab dena, bhalai ka hukm dena aur burai se rokna [📗Bukhari: 6229]. Aurton ke lehaaz se ek dusri hadeeso mein ata hai, aurten awra ki tarah hain, jab wo ghar ke bahar nikalti hain toh shaitaan ki ummeed badh jaati hai. Wo aurten Allah ko zeyadah pasandeedah/nazdeek hain jo gharo mein rehti hain banisbat unke jo apne aap ko muashre mein aam karen [📗Al-Silsilah al-Saheehah: 2688]. Hatta ki aurton ko masjido mein namaz padhne ki ijazat di gayi hai, lekin unke ghar unke liye zeyadah behtar jagah hai [📗Abu dawud: 567].
📚 _*Sahih Muslim: jild 2, kitab Al masajid wama wad'ie As salah 5, hadith no. 1528*_
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment