find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shirak ko Samajhne ke liye Quran ki kuchh aayatein.

                    *SHIRK SAMJHNE KE LIYE QUR’AN KI KUCH MISAALE*

                         * FARMAN E ILAAHI*

           *✔”Jin logo ne Allah ta’ala ke siva aur kaarsaaz bana rakhe hai, unki misaal makdi(spider) ki si hai, ke wo bhi ek ghar bana leti hai, halaan ke tamaam gharo se zyaada kamzor ghar makdi ka ghar hee hai, Kaash! wo jaan lete*
*(Surah Ankaboot 29 : Ayah 41)*
*✔”Logo! ek misaal* *bayaan ki ja rahi hai, zara kaan laga kar sun lo, Allah ke siva jin jin ko tum pukaarte rahe ho, wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte, bhale saare ke saare jama ho jaaye,*balke agar makkhi unse koi cheez le bhaage to, ye to usey bhi usse chheen nahi sakte, bada kamzor hai talab karne* *waala(madad chahne wala) aur bada kamzor hai wo, jis se talab kiya jaa raha hai(jisse madad chahi ja rahi hai).*
*✔”unhone Allah ke martabe ke mutaabiq us ki qadar jaani hee nahi, Allah ta’ala bada hee zor wa qoowat waala aur ghaalib wa zabardast hai(Allah is powerful and Exalted in Might)*
*Surah Hajj, Ayah 73-74*
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Shirk Ki HAlat ME Marne Walo ki Sza. 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS