Achha Sulooq Ka Jyada Haqdar kaun, Achhe Akhlaq
Jaan Lo Ki Tumhare Acche Saluk Ke Sabse Zyada Haq Daar Kon Hai
Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Ek sahabi Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir huve aur arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere Achche suluk ka sabse zyada haqdar kaun hai ?
Ek sahabi Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir huve aur arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere Achche suluk ka sabse zyada haqdar kaun hai ?
Farmaya ki Tumhari Maa, puch ki iske baad kaun hai ? farmaya Tumhari Maa
Unhone phir pucha iske baad kaun hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne phir farmaya Tumhari Maa
Unhone pucha ki iske baad kaun hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Tumhare walid "father"
Sahih Bukhari, Vol 7, 5971,
* ḀḶ QṳRḀṆ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
*وَ قَضٰی رَبُّکَ اَلَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّاۤ اِیَّاہُ وَ بِالۡوَالِدَیۡنِ اِحۡسَانًا ؕ اِمَّا یَبۡلُغَنَّ عِنۡدَکَ الۡکِبَرَ اَحَدُہُمَاۤ اَوۡ کِلٰہُمَا فَلَا تَقُلۡ لَّہُمَاۤ اُفٍّ وَّ لَا تَنۡہَرۡہُمَا وَ قُلۡ لَّہُمَا قَوۡلًا کَرِیۡمًا*
Aur Tera parwardigar saaf saaf hukum de chuka hai ke Tum us ke siwa kisi aur ki ibadat na karna aur maa baap ke sath ehsan karna
*Agar Teri maujoodgi me in me se wk ya ye dono budhape ko pahonch jayen to un ke aage uff tak na kehna na unhen daant dapat karna Balke un ke sath adab-o-ehtram se baat cheet karna
*وَ اخۡفِضۡ لَہُمَا جَنَاحَ الذُّلِّ مِنَ الرَّحۡمَۃِ وَ قُلۡ رَّبِّ ارۡحَمۡہُمَا کَمَا رَبَّیٰنِیۡ صَغِیۡرًا*
*Aur aajzi aur mohabbat ke sath un ke samne tawazo ka bazoo pust rakhe Rakhna aur dua karte Rehna ke
*Aye mere Parwaardigar! In par waisa hi reham kar jaisa enhon ne mere bachpan me meri parwarish ki hai
*Al Quran Surah Bani Isaraeel 17, Aayat 23-24.*
*Comment:
Maa Baap ke sath bura Saluk Karne wale Bacho ko Darna Chahiye Allah Ka Azaab bada Saqt hai Aur zaleemo ka koi Madadgar na hoga
*Maa Baap Apna Khoon Paseena Baha Kar bacho ko Bada karte hai Aur Agar Wo bache bade hokar Apni biwi ka Pallu pakad kar maa baap ka sath Chohd Dete hai to Inke liye badi kharabi hai
Maa Baap apni Har khwahish Har aarzu bacho ki Khushiyo par Qurbaan kar dete hai Jab Bacha Beemar hota hai to Maa baap Raat bhar Jaagte Rehte hai Na khante hai na peete hai Hospital ke chakkar lagate hai Wohi bacha bada hokar Beemar maa baap ko dukh de to kya beet ti hogi par ?
Maa baap ki khidmat karo Wo hamesha Tumhare sath nahi Rahenge aur yaad rakho tum ko bhi aulad hogi Wo bhi Tumhare Sath wo Sab karegi jo Tum karte ho apne maa baap ke sath.
_______________________
Syed Naushad
_______________________
Syed Naushad
No comments:
Post a Comment