find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Neki Kya Hai? Iski Islam me kya Ahmiyat Hai?

✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam Hai :


♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) se Riwayat hai ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne Farmaya – “Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney.”

– (Sahih Muslim 2553)

✦ Kaamil Iman ki Alamat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – “Momino me Iman ke Aitbar se sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq sabse acche hai.”

– (Abu Dawood 4682)

✦ Rozedaar aur Tahajjud Guzar jaisa Martaba :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha tul Momineen Ayesha (RaziAllahu Anha) farmati hai ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ye farmate huwe suna – “Momin Apne Achche Akhlaaq se Rozedar aur Tahajjud Guzar ka Darja Hasil kar leta hai.”

– (Abu Dawood 4798)

✦ Meezan (Tarazu) me Wazni Cheez :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – “Meezan me Achche Akhlaaq se Zyada bhari Cheez koi nahi.”

– (Abu Dawood 4799)

✦ Jannat ki Zamanat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Umama (Razi’Allahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Main Jannat ke Atraf me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo haq pe hone ke bawjood Jhagda chorr dey , Aur Jannat ke darmiyan me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo Mazaaq me bhi Jhoot bolna chorr dey , Aur Aala Jannat me ek Makan ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jisne apna Akhlaq acha kiya.”

– (Abu Dawood 4800)

✦ Jannat me Dakhil ka Sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se pucha gaya ke – “Kis Amal ki wajah se log Zyada Jannat me dakhil honge ?.. ” Aap ﷺ ne farmaya – “Allah ka Khauf(Taqwa) aur Husn-e-Akhlaq se.”
Phir pucha gaya – “Zyada tar log Jahannam me kin Aamal ki wajah se jayenge ?..” Aap ﷺ ne farmaya – “Munh (yani zubaan) aur Sharmgah ki wajah se.”

– (Tirmizi 2004)

✦ RasoolAllah ﷺ se Nazdeeqi ka sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir (Razi’Allahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – “Qayamat ke din mere Nazdeeq tum me se sab se zyada mehboob aur qareeb baitne waley log
wo hongey jo behtreen Akhlaaq waley hain.”

– (Tirmizi 2018)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS