🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
✦ AL Quran : Beshak jo log yateemo ka maal nahaq khate hain wo apne pet aag se bharte hain aur anqareeb (wo) aag mein dakhil honge
Surah An-Nisa(4) , Verse 10
✦ Al Quran : Magar insaan ( Ajeeb Makhluq hai ki) jab uska RAB usko Aazmata hai to usey Ezzat deta aur Naimat bakshta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Ezzat bakhshi aur Jab ( Insan ko uska RAB dusri tarah) Aazmata hai ki us par rozi tang kar deta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Zaleel kiya, Nahi balki tum log Yateem ki khatir ( dekhbhal) nahi karte aur na Miskeen ko khana khilane ki targheeb dete ho aur Meeras (wirasat) ka maal samet kar kha jate ho aur Maal ko bahut hi Azeez rakhte ho
Al Quran, Surah Fajr, Chapter 89,Verse 15-20
✦ Hadith: Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah saath honge aur Aapne shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaare se (dono ka kareeb hona) bataya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6005
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment