*Maidane Hashr me Garib Kaun hoga?*
Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ Ne Farmaya,
*Tumain Maaloom Hai Gareeb Kaun Hai? Sahaba r.a. Ne Arz Kia, Hum To Gareeb Us Ko Samjtay Hain Jis Ke Paas Rupya-paisa Aur Saaz O Saamaan Na Ho.*
*Toh Aap ﷺ Ne Farmaya, Meri Ummat Mein Gareeb Wo Shaksh Hoga Jo Qayamat Ke Din Salat (Namaaz), Saum (Roza) Aur Zakaat Ke Sath Aayga Magar Us Ne Kisi Ko Gali Di Ho Gi, Kisi Par Jhuta-ilzam Lagaya Ho Ga, Kisi Ka Maaal Hadap Kiya Ho Ga, Kisi Ka Khoon Bahaya Ho Ga, Kisi Ko Maara Ho Ga, Chunache Us Ne Jin Jin Logon Ki Haq Talfi Ki Ho Gi Unhain Us Ki Nekiya De Di Jaain Gi. Aur Agar Uski Nekiya Kam Pad Jaye Toh Fir Un Logon Ke Gunaah La Kar Us Par Laad Diye Jayenge. Aur Usey Jahannum (Dozakh) Mein Phaink Diya Jaay Ga.*
Sahih Muslim, The Book of Virtue, Enjoining Good Manners, and Joining of the Ties of Kinship, Hadith- 2581
No comments:
Post a Comment