find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Phate Hue Quran ke Pages ka kya Kare?

*ꙮPhate huwe quran ke pages ka kya karen?ꙮ*

*✵Sawaal:✵*
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Janab Mera Sawal yeh hai k agar Quran ghar mey maujood ho is halat mey k Quran Padh nhi sakte jaise Quran k Papers Nikal jana , Quran bilkul phatt jana toh is halat mey Quran ko kidhar rakhna chahiye agar ghar mey ho toh beadbi hoti hai toh kya is surat mey Quran ko kya kare ?

Rehnumayi Kare

*✯Jawaab:✯*
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
*Qurani Aayaat waale phate puraane pages ko zaya’ karne ka jawaaz hai.*
*Is talluq se teen aqwaal hain:*
1) Paani mein baha diye jayen
2) Pakeeza zameen mein dafan kar diye jayen
3) Aise pages ko jala diya jaaye (Yeh teeno sooratein sahih hain. Behtar 3 Number hai)

*Sahih Bukhari mein Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu se manqool hai:*
وَأَمَرَ بِمَا سِوَاهُ مِنَ الْقُرْآنِ فِي كُلِّ صَحِيفَةٍ، أَوْ مُصْحَفٍ أَنْ يُحْرَقَ​
*Mafhoom:* Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu ne Hazrat Hafsa Radhiallahu Anha ke saheefe se manqool Quran ke alawah har saheefe ya Mushaf mein jo Quran hai, un ko jalaane ka hukm farmaya.
*(Sahih Bukhari: 4987)*

*Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu ke is amal par Sahih Bukhari ke Shareh Imam Ibn e Battal Rahimahullah farmate hain:*
في هذا الحديث جواز تحريق الكتب التي فيها اسم الله بالنار، وأن ذلك إكرام لها وصون عن وطئها بالأقدام. وقد أخرج عبد الرزاق من طريق طاوس أنه كان يحرق الرسائل التي فيها البسملة إذا اجتمعت، وكذا فعل عروة​
*Tarjumah:* Is Hadees se yeh masla nikla ke un kitabon ko jalana jaaiz hai jin mein Allah Taala ka naam ho, isi mein un ki izzat aur ikraam hai, bajaye is ke ki qadmon ke neeche ronde (kuchle) jaayen, is mein un ki be-adbi hai. Taaus Rahimahullah ke paas jab Allah ke naam waale kutub o rasaail jama ho jaate to un ko jala daalte, Urwah Rahimahullah ne bhi isi tarah ka amal kiya tha.
*(Fatah ul Bari)*
والله أعلم بالصواب​

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS