find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah Tala apne Bande ke Dil Me Buri Khyal Aane Se Maaf kar deta hai Jab tak Ke O Us Kam ko ANJAAM n de.

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ زُرَارَةَ بْنِ أَوْفَى، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    تَجَاوَزَ اللَّهُ لِأُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، ‏‏‏‏‏‏مَا لَمْ تَكَلَّمْ بِهِ، ‏‏‏‏‏‏أَوْ تَعْمَلْ بِهِ   .
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Allah taala ne meri ummat ke khayalat ko jo dil mein atey hain maaf farma diya hai jab tak ke woh inhen zubaan se ada nah kare, ya un par amal nah kare.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ نے میری امت کے خیالات کو جو دل میں آتے ہیں معاف فرما دیا ہے جب تک کہ وہ انہیں زبان سے ادا نہ کرے، یا ان پر عمل نہ کرے۔
Prophet ﷺ said: Allah has permitted my Ummah what occurs in their minds, as long as it is not spoken or acted upon.

 *wazahat:* iss hadees se maloom hua ke dil mein paida hone wale khayalat aur guzarne wale waswase muakhzah ke qabil giraft nahi, maslan kisi ke dil mein kisi ladki se shadi karna ya apni biwi ko talaaq dene ka khayal aye toh mehez dil mein khayal aane se ye baatein waqayi nahi hongi. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: koi shakhs agar neki ka iradah kare lekin amal naa kare toh Allah taala iske naam e amaal mein ek neki likh deta hai, agar amal kar le toh uske naam e amaal mein 10 se 700 gunah tak ki neki likh di jaati hai. Aur agar kisi ne burayi ka iradah kiya lekin iss par amal naa kiya toh Allah ta'ala iske naam e amaal mein neki likh deta hai agar iradeh ke baad iss par amal bhi kiya toh iske naam e amaal mein ek hi burayi likhi jaati hai [Bukhari: 6491]. Allah swt ne farmaya: _jaan rakho kay *Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khauf khatay raha karo* aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai._ [Quran 2:235].

 _*Jamiat Tirmidhi: jild 2, kitab ut talaaq wa allia'an 13, hadith no. 1183*_

*Grade: Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS