Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai, Rasool’Allah (sallalahu alayhi wasallam) farmaya:
*“Mat Bura kaho Hawa ko! kyun ki wo Allah ki Rehmat me se hai, Jo Rehmat ya Tabaahi lekar aati hai. Par Allah se uski Bhalaayi mango aur uski Buraayi (Tabahi) se Panah chaaho.”*
– (Sunan Ibne Majah, 3727)
Bukhaar
Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Ne Farmaya Ki,
“Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Bukhar Ka Charcha Kiya Gaya, Tou Ek Shakhs Ne Bukhar Ko Bura Kaha.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Bukhaar Ko Bura Na Kaho !, Iss liye Ki Wo (Momeen Ko) Gunaaho Se Iss Tarah Paak Kar Deta Hai, Jaise Aag Lohe Ki Mail Ko Saaf Kar Deta Hai..”
–(Ibne Majah, Hadith 3469)
No comments:
Post a Comment