Shirk ki halat mein khatima.
Hazrat Anas Radi-Allahu-Anhu se Riwayat Hain ke Ek shaks ne Arz kiya: Allah ke Rasool! Mere Walid Kaha hain❓ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmya: Tumhare walid Jahannam mein hain. Jab wo peeth pher kar chala to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya " Mere walid aur Tere walid dono Jahannam mein hain.*
*{Sunan Abi Dawud 4718}*
*Anas (RadiAllahu anhu) se rivayat hai ki ek aadmi ne arz kiya, yhe Allah ke Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Mere Baap (Father) kaha hai❓*
*Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya dozakh mai, Jab vo admi wapas jane laga to Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us ko bolaya or phir farmaya ke mere baap or tere baap dono dozakh mai hai.*

*{Sahih Muslim Vol 1,H-500}*
*Wazahat*
*Isse ye malum hota hai ke insaan ke liye Tauheed, Wahdaniyat ki kitni Ahmiyat hai.Tauheed ke bagair insaan ki zindagi be-mani Hai. Jis ka khatima Tauheed ke bagair ho, chahe wo Nabi ke Walid ho, ya Nabi ke Maa ho, ya Nabi ki biwi ho, ya Nabi ka beta ho, ya Nabi ke chacha ho, chahe kitni bhi badi motabar shaksiyat ho, unka thikana jannam hai. jo Allah Ta'ala ki Wahdaniyat ko nai pehchana Allah ke Nazdeek uski koi Ahmiyat Nahi hai..*

*Aur isse ye baat bhi malum hoti hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sifarish bhi unhi logon ke liye hai jinka khatima Tauheed par hota hai, jo shaks Allah Ta'ala ki zaat, sifaat,Ibadah me kisi doosre ko bhi shareek tehrata hai Matalb Allah par Imaan Rakhta hai ke Allah Aulaad ka Rizzaq ka, Maal ka, naam, shohrat ka dene wala hai aur bimariyon ko shifa karne wala hai.,*
*Aur saath saath ye bhi imaan rakhta hai ke, Nabi, sahabi, wali, ya peer faqeer ya koi baba bhi ye sab kuch dete hai, aisa Aqeeda aisa imaan Rakh kar tauba ke bagair is duniya se jayega to uski sifarish bhi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam nahi karenge..is liye ke Allah ta'ala ke Nazdeek sab se Aham chiz Tauheed hai. Allah ta'ala ko ek jaanna ek maanna aur sirf usi ki ibadat karan..*
*Allah ta'ala hum sab ka khatima Tauheed par kare.*
*Aameen ya Rabbal Aalemeen.
Shirk Aur USke Aqsaam, Kind Of Shirk
*Aameen ya Rabbal Aalemeen.
Shirk Aur USke Aqsaam, Kind Of Shirk
No comments:
Post a Comment