find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

BadSaguni Kya Hai? Sitaron Se Baarish Talab karna Kaisa Hai?

BadSaguni Kya Hai? Sitaro Se Barish TAlab Karna Kaisa Hai?

Dour e Jahiliyat Me Logou Ki Ye Adat Thi K Wo Apne Kisi Kaam Ya Safar K Aagaaz K Waqt Parindah Udate Agar Wo Daaye Janib Jata To Usey Baais e Khair Samajhte Aur Agar Parindah Baaye Janib Ko Udta To Bad Shaguni Lete Aur Us Kaam Ko Manhoos Aur Nuqsaandah Samajh Kar Chod Dete the.
Deen e Islam Ne Bad Shaguni K Aqeedey Ko Bebuniyad Aur Shirk Kharar Diya.
Nabi {ﷺ} Farmatey Hai:-
❝Bad Shaguni Shirk Hai. Aur Hum Me Se Har Kisi Ko Koi Na Koi Wahem Ho Hi Jata Hai, Lekin Allah {ﷻ} Tawakkal Ki Wajah Se Usey Zaiel Kar Deta Hai.❞
(Sunan Ibn Majah Jild No.4 Hadees No.3538)
Isi Tarha Sabeqa Aqwaam Ki Bhi Yahi Halat Thi K Wo Bad Shaguni K Marz Me Mubtela The. Hatta k Guzishta Qoumou Me Badbaqt Logou Ne Unki Taraf Maboos Ambiya (علیہم السلام) Aur Unke Pairokaar Allah K Nek Bandou Se Bad Shaguni Li, Aur Unhe Manhoos Samajhte The.
Saleh (علیہم السلام) Ne Jab Apni Qoum Ko Samjhane Ki Koshish Ki To Unki Qoum Ne Kaha:-
❝Wo Kahne Lage Hum To Teri Aur Tere Saathiyou Ki Bad Shaguni Le Rahe Hai, Aap Ne Farmaya Tumhari Bad Shaguni Allah {ﷻ} K Yaha Hai, Balke Tum Fitne Me Padhe Hue Log Ho.❞
(Surah An-Namal Surah No.27 Ayat No.47)
Isi Tarha Firoun Aur Uske Darbariyou Per Koi Musibat Aati To Wo Uska Sabab Moosa (علیہم السلام) Aur Unke Maanne Walou Ko Kharar Dete.
Inke Muta'alliq Allah {ﷻ} Farmatey Hai:-
❝Pas Jab Unpar Kush haali Aajaati To Kahte k Ye To Hamare Liye Hona Hi Chahiye Aur Agar Inko Koi Badhaali Pesh Aati To Moosa (علیہم السلام) Aur Unke Saathiyou Ki Nahusat Batlate. Yaad Rakho K Inki Nahusat Allah K Paas Hai, Lekin Unke Aksar Log Nahi Jaante.❞
(Surah Al-Aaraf Surah No.7 Ayat No.131)
Isi Tarha Ek Basti KI Taraf Allah Ne Teen(3) Ambiya (علیہم السلام) Ko Bheja, Jab Unhone Apni Qoum Ko Allah {ﷻ} Ki Taraf Bulaya To Us Badbaqt Qoum Ne Na Sirf Inkar kiya Balke Unhe Manhoos Kharar Diya.
Inke Muta'alliq Allah {ﷻ} Farmatey Hai:-
❝Unhone Ne Kaha K Hum To Tumko Manhoos Samajhte Hai. Agar Tum Baaz Na Aaye To Hum Patharou Se Tumhe Sangbaar Kardenge Aur Tumko Hamari Taraf Se Sakht Takleef Pahunchegi.❞
(Surah Yaseen Surah No.36 Aya No.18)
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS