Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
بسم الله الرحمن الرحيم
*Muhammad* {ﷺ} *Part-1*
*1.Muhammad* {ﷺ} *Ka Ta'aruf:-*
*1.Paidaish:-* Makkah, Peer Ka Din, Subah Ka Waqt, Mahina Rabi Ul Awwal, Tarikh Me Ikhtelaf Hai Zyada Sahih 9 Rabi Ul Awwal Hai, Haathiyou Wala Saal 20-April-571 Ad.
*2.Naam:-* Muhammad Maqlooqaat Me se Jiski Sabse Ziyada Tareef Ki Gayi Ho Isey Muhammad Kahte Hai Aur ye Naam Arab Me Ma'roof Na Tha Aur Iske Alawa Ahmed, Maahi, Haashir, Aaqib {ﷺ} Hai.
*3 Nasab:-* Muhammad Bin Abdullah Bin Abdul Mutallib Bin Hashim Bin Abd Munaaf Bin Qusi Bin Kallab Bin Marrah Bin Ka'ab Bin Loyi Bin Galib Bin Fahar (Inhi Ka Laqab Quraish Tha Aur Inhi ki Taraf Qabila Quraish Mansoob Hai) Bin Malik Bin Nazar Bin Kanana Bin Khuzaima Bin Madraka Bin Ilyas Bin Mazar Bin Nizaar Bin Ma'aadh Bin Adnan (Aur Ye Hazrat Ismail (علیہم السلام) Ki Aulad Me Se The.
*Note:-* Yaha Nasab Ka Pahla Hissa Zikar Kiya Hai Dusra Hissa Adnan Se Ibrahim (علیہم السلام) Tak Hai Aur Teesra Hissa Adam (علیہم السلام) Tak Hai.
*4.Kuniyat:-* Aap {ﷺ} K Bade Bete Ka Naam Qasim Tha Isiliye Aap {ﷺ} Ki Kuniyat Abul Qasim Hai.
*5.Walidain:-* Walid Ka Naam Abdullah Aur Walida Ka Naam Aamenah.
*6.Biwiyan(Wives):-* 11 Biwiyan Jinke Naam:- Khadijah, Sawda, Aayesha, Hafsa, Zainab Binte Khuzaima, Umme Salma, Zainab Binte Jahsh, Juveriya, Umme Habiba, Safiyyah Aur Maimoona (رضوان الله علیہم اجمعین).
*7.Bachche:-* Saath(7) Bachche The Qasim, Zainab, Ruqaiyya, Fatima, Umme Kulsum, Abdullah Aur Ibrahim (رضوان الله علیہم اجمعین)
*8.Rishtedaar:-* 11 Chacha Aur 6 Phuphiya (Musalmaan:-Hamza, Abbas Aur Safiyyah (رضوان الله علیہم اجمعین)).
*9.Razayi Maayein:-* Jinhone Ne Nabi {ﷺ} Ko Doodh Pilaya Saubiya (رضي الله عنها) Aur Halima (رضي الله عنها).
*10.Razayi Bhai Aur Bahen:-* Hamza (رضي الله عنه) Jo Aapke ChaCha The Abu Sufiyan Bin Haris, Abdullah, Aneesa, Jazama Inhi Ka Laqab Shaima Tha Aur Inhone Nabi {ﷺ} Ko Apni God Me Khilaya Tha.
*11.Loundi (Khadima):-* Mariya (رضي الله عنها) Jinse Apko Ibrahim Paida Hue Aur Rehana (رضي الله عنها).
*12.Sasur Aur Damaad:-* Sasur:-Abu Bakr, Umar, Abu Sufiyan, Haris (رضوان الله علیہم اجمعین) Aur Damaad:- Usman Aur Ali (رضي الله عنهم).
*Note:-* Sasur Me kuch Naam Hi Ziker Kiye Hai.
*13.Wafaat:-* 12 Rabi Ul Awwal 11 Hijri Peer Ka Din Chasht Ki Shiddat K Waqt Pesh Aaya. Is Waqt Nabi {ﷺ} Ki Umar 63 Saal 4 Din Hochuki Thi.
No comments:
Post a Comment