find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Apne Aulad Ki Wafaat Par Saber Karne walo Ke liye Khushkhabri.


   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*✦ Apne Aulad ki wafat par sabr karte huye Allah ki hamd bayan karne wale ke liye Jannat mein ek ghar*
----------------------
✦ Abu sinaan Radi Allahu Anhu se rivayat hai Main apne bete Ko dafan kerne ke bad abhi Qabr mein hi tha Ke Hazrat Abu Talha Radi Allahu Anhu ne mera hath pakad ker Mujhe bahr nikala aur kaha Ke Mein tumhein Khush khabri na sunao ? Maine kaha kyu nahi unhone Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu Ki ye hadees sunayee ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya jab kisi ki aulad ki wafat ho jati hai to Allah Subhanahu Farishto Se farmata hai Kya tumne mere bande Ke bete Ki Rooh Qabz ker li ? Kya tum uski ankhon ki thandak aur Jigar ke tukde Ko le aaye ? Wo kahte hai Ji haan !Allah Subhanahu Puchta hai fir mere bande ne kya kaha? wo arz karte hain Ke usne Aap ki tarif bayan ki aur aap hi ki taraf aana hai kaha (yani inna lillahi wa inna ilaihi rajeuun padha) Allah Subhanahu farmata hai Jannat mein us shaks Ke liye ek ghar bana do aur uska naam Bait Al-Hamd (yani tarif wala ghar) rakh do
Masnad Ahmed Jild 6, 1500-Sahih
Mishkat , Jild 2,225-Hasan
Sunan Al-Kubra Al-Baihiqi- 6606-hasan
----------
      ابو سنان کہتے ہیں کہ میں اپنے بیٹے کو دفن کرنے کے بعد ابھی قبر میں ہی تھا کہ ابوطلحہ نے میرا ہاتھ پکڑ کر مجھے باہر نکالا اور کہا کہ میں تمہیں خوشخبری نہ سناؤں ؟ میں نے کہا کیوں نہیں انہوں نے حضرت ابوموسیٰ رضی اللہ عنہ کی یہ حدیث سنائی کہ رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا جب کسی کی اولاد کی وفات ہو جاتی ہے تو اللہ تعالیٰ فرشتوں سے فرماتا ہے کیا تم نے میرے بندے کے بیٹے کی روح قبض کرلی؟ کیا تم اس کی آنکھوں کی ٹھنڈک اور جگر کے ٹکڑے کو لے آئے ؟ وہ کہتے ہیں جی ہاں اللہ تعالیٰ پوچھتا ہے کہ پھر میرے بندے نے کیا کہا؟ وہ عرض کرتے ہیں کہ اس نے آپ کی تعریف بیان کی اور آپ ہی کی طرف واپس آنا ہے کہا (یعنی ان لله وانا اليه راجعون پڑھا ) اللہ تعالیٰ فرماتا ہے کہ جنت میں اس شخص کے لئے گھر بنا دو اور اس کا نام بیت الحمد رکھو۔
--------------
Abu Sinan Radi Allahu anhu said that he buried his son, Sinan, Meanwhile, Abu Talhah Khawlani was sitting at the edge of a grave. When they were departthg, he held him by the hand and said, Shall I not give you the good news, 0 Abu Sinan? He said Certainly! So he narrated that Dahhak ibn Abdur Rahman ibn Arzab reported to him on the authority of Abu Musa Ash’ari that Allah’s Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When someone’s son dies, Allah asks the angels, Did you take away the son of My slave? They say, Yes. He asks, Did you take away the fruit of his heart?” They say, :Yes. So, He asks, What did My slave say? They say, He praised you and said Return is towards you ( means he said inna lillahi wa inna ilaihi rajeuun). So, Allah says, Build for My slave a house in Paradise and name it Bait Al-Hamd (House of Praise).
Masnad Ahmed, Vol 6, 1500-Sahih
Mishkat , Vol 2,225-Hasan
Sunan Al-Kubra Al-Baihiqi-6606-Hasan
           ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆


Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS