find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaj Ki Ahmiyat aur Fazilat.

Namaz Ki Fazilat Aur Benamazi ki Sazaa

Bachcha jab 7 saal ka ho jaaye to use namaz ka hukm do aur aur jab 10 saal ka ho jaaye to maarkar padhao

 Abu daood,jild 1,safah 77

Momin aur kaafir ke darmiyan farq sirf namaz ka hai

 Nisaayi,jild 1,safah 81

Qayamat ke din bande se aamal me sabse pahle poochh namaz ki hogi

 Kanzul ummal,jild 2,safah 282

Jiski asr ki namaz faut ho gayi uska amal zaaya ho gaya

 Bukhari,jild 1,safah 78

*Jo shakhs jaanbujhkar ek waqt ki namaz chhod de to uspar se ALLAH ka zimma uth gaya*

 Alithaaf,jild 6,safah 392

*Namaz me susti karne waale qayamat ke din suwar ki surat me uthenge*

 Kya aap jaante hain, safah 439

Jahannam me ek waadi hai jiska naam wail hai uski garmi ka ye haal hai ki usse jahannam bhi panaah maangta hai usme be namazi daale jayenge

 Paara 30,surah maoon,aayat 4
 Bahare shariyat,hissa 3,safah 7

Jo namazo ko unke waqt par padhe aur uske aadab ki hifazat kare to maula par ahad hai ki usko jannat me daakhil kare

aur jisne namazo ko chhoda ya padhne me uske aadab o arkaan sahi na rakha to maula par koi ahad nahin chahe to use bakhshe aur chahe azaab de

 Majmauz zawayed,jild 1,safah 302

Hazrat Moosa Alaihissalam ki baargah me ek aurat haazir huyi aur kaha ki aap ALLAH  se meri sifarish farma dijiye ki mujhse bahut bada gunah sarzad ho gaya hai

Aapne poochha ki kya to kahne lagi ki maine zina karaya aur usse jo bachcha paida hua use qatl kar diya,

hazrat moosa alaihissalam farmate hain ki ai faasika faajira aurat nikal yahan se kahin teri nahusat ki wajah se hum par bhi azaab naazil na ho jaaye wo wahan se chali gayi,

hazrat jibreel alaihissalam haazir hue aur farmaya ki aapne us tauba karne waali Aurat ko kyun wapas kar diya to aap farmate hain ki maine usse zyada burayi waala koi na dekha to hazrat jibreel alaihissalam farmate hain ki jo shkahs jaanbujhkar namaz chhodta hai
wo is aurat se bhi zyada badkaar hai

 Kitabul kabayer,safah 44.

Share:

1 comment:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS