find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam Ke Allah ke Rasool Honey ki Gawahi.

 Mohammad (ﷺ) Ke Allah Ke Rasool Honey Ki Gawaahi

Qabr mein maiyat ki aazmaaish hoti hai aur us se teen suwalaat kiye jaatey hain, jo inka jawaab dey, wo nijaat paayega aur jo jawaab na dey sakey wo halaak o barbaad huwa, in suwaalon mein se ek sawaal yeh hota hai ke "Tera Nabi Kaun Hai", jise Allah ﷻ is kalimah ki sharaayit ko duniya mein poorey karney ki tawfeeq bakhshe, saabit qadam rakhe aur ise qabr mein us ka ilqaa kar dey wahi in suwaalon ka jawaab dey paayega, phir aakhirat mein jab kisi ko aulaad aur maal nafa' na denge tab yeh kalimah is ke liye nafa' bakhsh saabit hoga jis ki darj zail sharaayit hain:
① Nabi ﷺ Ne Jin Baaton Ka Hukm Diya Hai In Mein Aap Ki Itaa'at Karna:
Kiyunke ke Allah ﷻ ne Nabi ﷺ ki itaa'at ka hukm diya hai, farmaaya:
مَّن يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ ۖ
"Jis ne Rasool ki itaa'at ki us ne Allah ki itaa'at ki."
(Surah an-Nisaa: 80)
Ek aur jagah irshaad hai:
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ
"Aap keh den ke agar tum Allah ﷻ se mohabbat kartey ho tou meri pairwi karo, Allah ﷻ bhi tum se muhabbat karega."
(Surah aal-Imran: 31)
Aur mutlaq dukhool e jannat Aap ﷺ ki mutlaq itaa'at par mauqoof hai, Aap ﷺ ne farmaaya:
كل امتي يدخلون الجنة الا من ابى قالوا؛ يا رسول الله؛ و من ابى قال؛ من اطاعني دخل الجنة و من عصاني فقد ابى
"Meri ummat ka har fard jannat mein jaayega siwaye is ke jo inkaar kar dey, logon ne arz ki: Aye Allah ke Rasool (jannat mein jaaney se) kaun inkaar kareyga, Aap ﷺ ne farmaaya: "Jis ne meri itaa'at ko wo jannat mein jaayege aur jis ne meri naafarmaani ki, yaqeenan us ne (jannat mein jaaney se) inkaar kar diya."
(Sahih Bukhaari)
Jo shakhs Nabi ﷺ se muhabbat karney waala hoga wo zaroor aap ki itaa'at kareyga kiyunke itaa'at, muhabbat ka samarah hai, aur jo shakhs Nabi ﷺ ki muhabbat ka da'wa karey lekin aap ki iqtedah aur itaa'at na karey wo apne da'wa e muhabbat mein jhoota hai.
② Nabi ﷺ Ne Jin Baaton Ki Khabar Di Hai In Mein Aap Ki Tasdeeq Karna:
Lehaza jis ne Nabi ﷺ se saabit shudah kisi baat ki mehaz apni khawish ya hawaye nafs ki wajah se takzeeb ki us ne Allah aur uske Rasool ki takzeeb ki kiyunke Nabi ﷺ khataa aur jhoot se paak aur mubarraa hain jaisa ke Allah ﷻ ka irshaad hai:
وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ
"Wo (Nabi) apni khawish se koi baat nahi kehtey."
(Surah an-Najm: 3)
③ Nabi ﷺ Ne Jin Kaamon Se Roka Ya Mana' Kiya Hai In Se Baaz Rehna:
Sab se pehle sab se badey gunaah shirk se bacheyen, phir doosrey badey badey aur muhlik gunaahon se door rahen yahan tak ke chotey chotey gunaah aur makrooh kaamon se ijtenaab karen, ek musalmaan ko apne Nabi ﷺ jis qadar muhabbat hogi isi ke ba-qadr us ka emaan ziyaadah hoga aur jab us ka emaan ziyaadah hoga tou Allah ﷻ nek aamaal ko uske nazdeek mehboob bana deyga aur kufr o fisq aur gunaah ke ke kaamon ko uske nazdeek na-pasandeedah bana deyga.
④ Allah ﷻ Ki Ibaadat Isi Tareeqe Par Karna Jo Us Ne Apne Nabi ﷺ Ki Zabaan Par Mashroo' Farmaaya:
Kiyunke ibaadat mein aql mana' hai, lehaaza yeh jayiz nahi ke Allah ﷻ ki ibaadat Nabi ﷺ ke laaye huwe tareeqe ke 'ilaawah kisi aur tareeqe par ki jaaye, Allah ke Rasool ﷺ ka irshaad hai:
من عمل عملا ليس علية امرنا فهو رد
"Jo shaksh koi aisa aamal karey jis par hummara hukm nahi hai tou wo aamal mardood hai."
(Sahih Muslim)
Faaidah: Ma'loom hona chahiye ke Nabi ﷺ ki muhabbat waajib hai, aur mehaz muhabbat hi kaafi nahi hai, balke zaroori hai ke Aap ﷺ tumhaare nazdeek har cheez yahan tak ke tumhaare nafs se bhi ziyadah mehboob hon, kiyunke jo shakhs kisi cheez se muhabbat karta hai tou usey aur us ki muwaafiqat ko har cheez par tarjeeh wa fawqiyat deyta hai, lehaaza Aap ﷺ ki muhabbat mein sachcha shakhs wo hai jis par is ki alaamat zahir ho baaien taur ke wo aap ki iqtedah karey, qaul o fa'el mein aap ki sunnat ka ittebaa' karey, aap ke awaamir ko bajaa laaye aur aap ki mana' kardah chizon se ijtenaab karey, apni tanggi wa aasaani, chusti wa susti, pasand-deedgi wa napasand-deedgi mein aap ke aadaab se aaraastah ho, kiyunke ke farmaan-bardari aur ittebaa' hi muhabbat ka samarah wa natijah hai aur in ke baghair muhabbat sachchi nahi ho sakti.
Nabi ﷺ Ki Muhabbat Ki Bahut Saari Alaamaaten Hain Jin Mein Se Chand Yeh Hain:
☆ Kasrat se Aap ﷺ ka zikr karna aur Aap ﷺ  par durood behjnaa, jo shakhs kisi cheez se muhabbat karta hai tou kasrat se us ka tazkirah karta hai.
☆ Aap ﷺ se mulaqaat ka mushtaaq hona, chunaancheh har habeeb apne mehboob ki mulaqaat ka mushtaaq hota hai.
☆ Aap ﷺ ka zikr karney par aap ki tazeem wa tawqeer karna, Ishaaq Rahimahullah kehtey hain: Nabi ﷺ ke Sahaba aap ki wafaat ke baad aap ka tazkirah kartey tou in par riqqat taari ho jaati, in ke roongtey khadey ho jaatey aur wo rooney lagtey.
☆ Aap ﷺ se bughz rakhney waaley se bughz rakhna, aap se dushmani rakhney waaley se dushmani rakhna, aap ki sunnat ki mukhalifat karney waaley aur aap ke deen mein bid'at nikaalney waaley bid'aatiyon aur munafiqon se kinara kashi ikhtiyaar karna.
☆ Nabi ﷺ se muhabbat rakhney waalon, jaise aap ke aal bait, aap ke azwaaj e mutahirat, aur ansaar wa muhaajireen mein se aap ke ashaab se muhabbat rakhna, aur in se dushmani rakhney waalon se dushmani rakhna aur in se bughz rakhney waalon aur in ko sab wa shitam ka nashaanah bananey waalon se bughz rakhna.
☆ Aap ﷺ ke akhlaaq e karimaanah ki iqtedah karna kiyunke aap ke akhlaaq logon mein sab se ziyadah karimaanah thhey, yahan tak ke Ayesha Radhi Allahu Anha farmaati hain: "Aap ﷺ ka akhlaaq Qur'an e kareem tha" yane aap ne apne aap ko is baat ka paaband bana rakha tha ke aap sirf wahi cheez karenge jis ka Qur'an ne aap ko hukm diya hai.
Nabi ﷺ Ke Awsaaf:
Aap (ﷺ) logon mein sab se ziyadah bahadur thhey, aur aap sab se ziyadah bahadur ladai ke waqt hotey thhey, aap logon mein sab se ziyadah karam nawaaz aur sab se ziyadah sakhi wa faiyaaz thhey, aur aap sab se ziyadah sakhi ramazan mein hotey thhey, aap makhlooq mein makhlooq ke sab se ziyadah khair khawah thhey, aap logon mein sab se ziyadah burdbaar thhey, chunaancheh aap ne kabhi apne nafs ke liye inteqaam nahi liya, aap Allah ﷻ ke mu'aamley mein sab se ziyadah sakht thhey, aur waqaar ke mu'aamley mein sab se ziyadah tawazoo' wa khaaksaar ikhtiyaar karney waaley thhey, aap parda-nasheen wa shezah se bhi ziyadah sakht haya-daar thhey, aap apne ahl ke liye sab se ziyadah behtar thhey, aur makhlooq mein makhlooq par sab se ziyadah meharbaan thhey, is ke 'ilaawah aap ke aur bahut saarey awsaaf hain.
- Muta'addid Ulama E Kiraam (Saudi Arab)
━━━━━━━━━━
|Kitaab: Aqeedeh Ki Kharaabiyan Aur Un Se Bachne Ke Tareeqeh. Taleef: Samahatahu as'Shaykh Abdul Aziz Bin Abdullah Bin Baaz Rahimahullah. Urdu Tarjuma: Israar ul Haq. Safah: 29-32|
Romanised: Abul Husayn Salafi
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS