Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana-jaana Shariyat ke Roshni me.
Part - 1
وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ
“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.
(Surah 2 Baqrah : 114)

Indian Govt. nahi balke Aaj Muslim Aurato ko khud Musalmano ne 2 jagah aane-jaane ki pabandi lagayi hai :
1. Masjid
2. Eidgaah
1. Masjid
2. Eidgaah
Jab Indian Govornmnet yani Hukumat Islami Shariyat me dakhal andaaazi karti hai to saare Musalman Awaaz uthate hai lekin jab khud Musalman apne “Maslaq” ke gurur me Shariyat ko badal deta hai to tab kya kiya jaaye ? Aise log Astin ke saanp hote hai.
Jab “Fiqh” aur “Maslaq” ko “SHARIYAT” se uncha muqam diya gaya to iska natija ye huwa ke Shariyat ko thukra kar aur Hadees-e-Rasool ko nazar andaaz karke Aurat ko har jagah jaane ki PERMISSION di gayi aur sirf MASJID aur Eidgaah me aane-jaane par PABANDI lagayi gayi.
Aaj Muslim Auratein Kaha Kaha nahi pahunch gayi.
Nauzubillah,
Lekin Masjid aur Eidgaah unki nazar me aisi jagah hai jaha saare BADMASH, GUNDE, aur AaWARA qism ke log aate hai isliye Aurat ka waha ibaadat ke liye aana jana aisa SAKHT HARAAM hai jaisa kisi Sharab ke adde par jana aana.

To Be Continue....
No comments:
Post a Comment