find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ghaus-E-Aazam Kaun Hai?

*💠💠💠 ❇ ﷽ ❇ 💠💠💠*

*✳GHAUS-E-AAZAM KISE KEHTE HAIN❓✳*

*Ghaus arabi zubaan ka lafz hai jiska matlab hai madad agar ise (verb) ke taur par istemal kiya jaye to iska matlab hoga "madad Karna" is tarah madad karne wale ko "ghaais" kaha jayega aur madad mangne wale ko "mustaghees". lekin agar "ghaus" ko bataur ism (noun) istemal kiya jaye to phir "ghaus" madadgaar ka matlab ada karega aur sheikh abdul qaadir jilani r.a. ko "ghaus" kehne wale iska yahi maf'hoom muraad lete hain. isi tarah lafz "aazam" bhi arabi zuban me bataur ism (noun) istemal hota hai jiska matlab hota hai "sabse bada" is tarah "ghaus-e-aazam" ka matlab hua "sabse bada madadgaar".*

*_▶ Sabse bada madadgaar kaun hai? yeh sawal agar urdu me aap ek aam musalman se karenge to woh jawab me yahi kahega ki "Allah taala" lekin jab aap arabi alfaaz ka istemal karte hue puchenge ki "Ghaus-e-Azam" kaun hai? to ab zuban se Allah ka naam nahi niklega. kyu woh is wajah se kyunki aaj musalman ne jahaalat ki hade paar kar di hain._*

*_deen-e-islam ne aqeeda-e-tauheed ke hawaale se yahi taaleem di hai ki Allah ke siwa aur koi madadgaar nahi, nafa wa nuqsan sirf Allah taala ke hi ikhtiyaar me hai, sirf wahi mushkil kusha wa haajat rawa hai, wahi khaaliq, raaziq hai. misaal ke taur par kuch aayaat pesh ki jaati hain-_*

*_☑ "Aur madad to Allah taala hi ki taraf se hai jo ghalib wa hikmat wala hai"_*

*[Surah aale imran 3, ayat-126]*

*_☑Aur woh apne liye Allah taala ke siwa koi madadgaar aur himayati nahi payenge_*

*[Surah Ahazaab 33, Ayat-18]*

*_☑Aur tumhare liye Allah ke siwa koi himaayati aur madadgaar nahi_*

*[Surah Baqrah 2, Ayat-107]*

*_☑Agar Allah tumhari madad kare to tum par koi ghaalib nahi a sakta, aur agar woh tumhara sath chhorh de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kare? aur Allah hi par bharosa karna chaiye imaan walo ko_*

*[Surah Aale imran 3, Ayat-160]*

*_☑Aur Allah kaafi hai himaayat ke liye Aur Allah kaafi hai madad ke liye_*

*[Surah Nisa 4, Ayat-45]*

*_☑Aur tumhare liye Allah ke siwa koi wali (himaayati) aur madadgaar nahi_*

*[Surah Tauba 9, ayat-116]*

*_In aayaat se yeh haqeeat wazeh ho jaati hai ki sirf Allah taala hi haqeeqi madadgaar, sabse bada madagaar yani "Ghaus-e-Azam" hai jabki deegar bahut si aayaat me na sirf ghairullah ko pukaarne balki use madadgaar samajhne ki bhi nafi ki gai hai aur aisa karne wale ko mushrik, zaalim kaha gaya hai, jaisa ki-_*

*_☑Allah ko chhorh kar kisi aur ko na pukaarna jo tumhe na koi fayeda pahuncha sake aur na koi nuqsan phir agar tumne aisa kiya to tum is haalat me zaalimo me se ho jaoge_*

*[Surah yoonus 10, Ayat-106]*

*_☑Aur usse badh kar gumrah kaun hoga? jo allah ke siwa unhe pukaarta hai jo qayaamat tak usko jawab nahi de sakte balki woh to unki pukaar se bhi be-khabar hain_*

*[Surah Ahqaaf 46, Ayat-5]*

*▶ Jo log "Sheikh Abdul Qadir jilani r.a." ko "ghaus-e-aazam" kehna shirk nahi samajhte zara woh ek baar unki zindagi ka mutaala karen. log unke naam par gadhe hue qisse kahaniyan to bayan karte hain lekin unka tareeqa unki taalimaat koi bayan nahi karta. kitna acha hota ki log nek buzurgon ko apna ideal banane ki koshish karte lekin logo ne unhe ideal nahi balki sirf ek *"Idol"* *bana diya hai.*

*Allah hum sabko Shirk ko shirk samajhne aur usse bachne ki taufiq ata farmaye…aameen

*_Jazakallaho Khair

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS