find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Masjid Aur Eidgaah Me Auraton Ka Jana (Part 3)

Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana-jaana Shariyat ke Roshni me.
Part - 3
🔹Rasoolullah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai k wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke. 

Farmane Rasool ﷺ hai:

⭕1. “Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna’haa.” 
Tarjuma:
Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.
📙SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)

⭕2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem(S) ne farmaya “Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna.”
Tarjuma:
Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.
📙SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

⭕3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai “Laa tamnawoo ima’a Allahi masajidAllahi.”
Tarjuma:
ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.
📙MUSLIM (Book 4, Hadith 886)

⭕4. Umm-e-Atiya R.A. farmati hain ke “Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.
📙(Sahih Bukhari :324)
………………………….

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS