Tashahud Me Baithne Aur Salam Pherne Ka Byan
RAFA E SABBABA: Namaj-E-Nabwi Part 05
Tashahud mein ungli utthana Nabi (ﷺ) ki badi barkat aur azmat wali sunnat hai, iska sunoot sunnat e rasool se mulhaiza farmaye:
Sayyiduna
Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke “Rasoolullah (ﷺ)
jab namaz (ke qaide) mein baithtey tou apne dono hath apne dono ghotno
par rakhtey aur aapni daheni ungli jo anghotey ke nazdeek hai uttha
letey, bas us ke sath dua mang letey.”
Nabi-E-Kareem (ﷺ) dayen hath ki tamaam ungliyo ko band kar letey, anghotey ke paas wali ungli se ishshara kartey…
[Sahih Muslim Hadees: [116] 580]
Sayyiduna
Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke
“Rasoolullah (ﷺ) jab (namaz mein) tashahud padhney baithey tou apna
dayan hath dayin aur bayan hath bayin raan par rakhtey aur shahadat ki
ungli ke ishshara kartey aur apna anghota apni darmiyani ungli par
rakhtey.”
[Sahih Muslim Hadees: 579]
Sayyiduna Wail bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai: “Rasoolullah (ﷺ) ne ungli utthayi aur aap usse hilatey thaye.”
[Sunan
Nasayee Hadees: 890 Wa Sanadahu Sahih. Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad
Hadees: 485 Mein Aur Ibne Kuzaima Hadees: 714 Mein Essey Sahih kahan]
Sirf “Lailaha illallah” kehne par Ungli utthana aur kehne ke baad rakkh deyna kisi riwayat se sabit nahi hai..
Shaikh
Al Bani “Rahimahullah” farmatey hai: Ungli ko harkat na deyne wali
Riwayat Shaz ya Munkir hai lehaza is se Hadees: -e-Wail ke muqabley mein
lana jaiz nahi hai…
Tashahud mein shahadat ki ungli mein thoda sa kham hona chahiye.
[Sunan Abi Dawood Hadees: 991 Wa Sanadahu Hasan]
__________________________
AAKHARI QAIDA (TASHAHUD):
Is
aakhri qaide mein Rasoolullah (ﷺ) yu baithey thhey jaise ke Abu Hameed
Saadi (Radhi Allahu Annhu) bayaan kartey hai ke jab wo sajda aata jis ke
baad salaam hai (jab aakhri rakat ka doosra sajda kar ke farigh hotey
aur tashahud mein baithtey) apna bayan paaon (dayin pindli ke niche se
bahar) nikaltey aur aapni bayin janib ke khole par baith jatey.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 739]
Bayin
janib khole par baithna “tawarruk” kehlata hai_ ye sunnat hai_ har
musalmaan ko aakhri qaide mein tawarruk zaroor karna chahiye_ kitne
afsoos ki baat hai ke hummari auratey tou aakhari tashahud mein tawarruk
kare aur mard is sunnat e Rasool (ﷺ) se mehroom hai.
Nabi-E-Kareem
(ﷺ) ney ek shaksh ko mana kiya jo tashahud ki halat mein bayen hath par
taik lagaye huwe tha aap ney farmaya: “Tu is tarha na baith kuy ke
(namaz mein) is tarha baithna un (yahudiyon) ka tariqa hai jinhe aazaab
diya jaata hai.”
[(hasan) Sunan Abi Dawood Hadees: 994, Wa Musnad Ahmed: 116/2, Iski Sanadahu Hasan Hai]
Jab
aap is qaide mein baithay tou pehle attaihyaat padhe jis tarha doosri
rakat padh kar aap ney qaide mein padhi thi. aur rafa e sabbaba
(shahadat ki ungli uttha kar ishshara) bhi kare. attaihyaat khatam kar
ke darood-e-ibraheem padhe.
____________________
DAROOD-E-IBRAHEEM:
اللّهمّ صلّ على محمّد وّعلى آل محمّد كما صلّيت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم انّك حميد مّجيد
اللّهمّ بارك على محمّد وّعلى آل محمّد كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم انّك حميد مّجيد
[Sahih Bukhaari Hadees: 3370]
Darood ke baad ye dua padhe:
اللّهمّ انّى اعوذ بك من عذاب جهنّم و من عذاب القبر ومن فتنة المحيا والممات و من شرّ فتنة المسيح الدّجّال
[Sahih Muslim Hadees: 588]
_____________________
NAMAAZ KA AQTETAAM:
Sayyiduna
Abdul bin Masood (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah
(ﷺ) apne dayin taraf salaam phairtey tou kehtey: assalamu aalaikum wa
rahmatullah aur bayin taraf salaam phairtey tou kehtey: assalamu
aalaikum wa rahmatullah.”
[Sunan Abi Dawood Hadees: 996 Wahuwa Sahih]
___________
Take From: Namaz E Nabawi. (sahih aahadees ki roushni mein).
Tarteeb: Dr. Shafiq Ur Rahman Hafidahullah.
Tehqeeq Wa Taqreej Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah.
Published By: Darussalaam.
No comments:
Post a Comment