KYA ALLAH ZAALIMON SE BE KHABAR HAI❓
By : Abu Zaid Zameer Hafiz ullah
_______
Insaani taareekh ka har safha zulm o sitam ki taweel dastaan ka ek baab hai. Taqatwar ka kamzoron par zulm karna rang o nasal ki hudood o quyood ka paband nahin, aur na hi zaman o makan ke badalney se is mein koi farq waqe huwa hai. Har zamaney mein taqat ke nashey mein choor insaan kamzoron ka istehsaal karta aaya hai.
Zulm o sitam ke is tasalsul ne bohot so ko bagawat ke raastey par rawaan kar diya toh kitnon ko mayoosi aur aajizi ki zehni kothri mein band kar diya. Baaz ko gham o gussa ne sirey se Khaliq hi ka inkaar karne par majboor kar diya. Unhon ne kaha agar is dunya ka koi Khaliq O Maalik hota toh ismein ye zulm aur bigaad na hota. Unhon ne bigaad ke wujood ko Khaliq ke adam e wujood ki daleel bana liya.
Lekin kya waaqi duniya mein zaalim ka dan-danaatey phirna kamzoron ke liye mayoosi ka elaan hai?
Kya mazlomon ke liye koi insaaf nahi?
Kya koi nahi jo iqtedaar ke qilon men mehfooz in zaalimon ko insaaf ki adalat mein khada kar ke unke khilaaf adl ka nifaz karey aur mazloomon ko unka haqq dilakar unke zakhmon par marham rakkhey aur unke dilon ko taskeen de?
Kyun nahi, yaqeenan ek din aaney wala hai jismein har mahroom apna chheena huwa haqq paye ga. Har mazloom apna badla paye ga. Ye woh din hoga jis din quwwat aur taaqat zaalim ka saath chhod kar mazloom ke saath ho jayegi. Ye Qiyamat ka din hoga. Isi din ke bare mein Allah Ta’ala ne farmaya:
وَلَا تَحْسَبَنَّ ٱللَّهَ غَٰفِلًا عَمَّا يَعْمَلُ ٱلظَّٰلِمُونَۚ إِنَّمَا يُؤَخِّرُهُمْ لِيَوْمٍ تَشْخَصُ فِيهِ ٱلْأَبْصَٰرُ
مُهْطِعِينَ مُقْنِعِى رُءُوسِهِمْ لَا يَرْتَدُّ إِلَيْهِمْ طَرْفُهُمْۖ وَأَفْـِٔدَتُهُمْ هَوَآءٌ
“Aur kahin ye na samajh lena ki zaalim jo kuch kar rahe hain Allah us se ghaafil hai. Wo toh unhein us din ke liye dheel de raha hai, jis din nigahein phati ki phati rah jayengi. Sar uthaaye wo daude chale ja rahe honge, unki nighaein un tak wapas na lautengi, aur un ke seeney (ghabrahat se) khali khali ho rahe hoonge. “
[Ibrahim 14: 42 -43]
Jinhein dunya insaaf nahin de saki unhein aakhirat unka insaaf zaroor dilayegi
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment