find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Salam Karne Ka Sahi Tarika Kya Hai?

AAP SALAAM KARKE SALAMATI BHEJTE HAIN YA PHIR MAUT KI DUA DETE HAIN❓
Janiye Salaam ke sahi lafzo ki adayegi
__________________________________
Ye Paighaam mere un azeez bhaiyon/baheno ke liye khaas hai jinhe Salam karne ka sahi tareeqa nahin malum hai. Salam ke tareeqe ka sahi ilm naa rakhne ki wajah se logo me salaam ke bahut se ghalat tareeqe raaij ho gaye hain. Ke log salam to bahut mohabbat se karte hain lekin ye nahi jaante ke ham salam karke salamati bhej rahen hain ya phir usko maut aane ki dua de rahen hain. Un salamo ki kuch misaale apko pesh ki ja rahi hain taki aap samjh sake ke aap apni zaban se dusron ke liye salamati ki dua nikaal rahen hain ya kuch aur hi.

1⃣.Salaam ke ghalat alfaaz

1.Saam Alaikum(سام عليكم )➖Tum barbaad ho
2.Asam Alaikum (اسام علیکم ) ➖Tum ko maut aaye
3.Sala’laikum( سلا لیکم)➖Tum par lanat ho
4.Asaa’kum(اساعکم )➖Tum khushi ko tarso
__________________________________

2⃣.Salaam Ke sahi alfaaz aur 30 nekiyan

“AssalamuAlai’kum WaRahmatullahi WaBarakatuhu”
(Aap par Salamati ho, Aur Allah ki taraf se Rahmatein aur uski barkatein aap par nazil hon!)

Hadees

Imran Bin Husain RaziAllahu anhu kahte hain ke ek shakhs Nabi ﷺ ke paas aya aur usne
AssalamuAlai’kum (اسلام علیکم)
kaha to Rasool’Allah ﷺ ne uska jawab diya, phir woh baith gaya. Rasool’Allah ﷺ ne farmaya : iske liye das naikiyan hain. Phir ek aur shakhs aaya aur usne kaha :
AssalamuAlai’kum WaRahmatullah(اسلام علیکم و رحمۃ اللہ )
to Rasool’Allah ﷺ ne uska jawab diya phir woh bhi baith gaya. Rasool’Allah ﷺ ne farmaya iske liye bees naikiyan hain. Phir ek aur shakhs aaya aur usne kaha :
AssalamuAlai’kum WaRahmatullahi WaBarakatuhu( اسلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ )
To Rasool’Allah ﷺ ne uska jawab diya phir woh bhi baith gaya. Rasool’Allah ﷺ ne farmaya : iske liye tees naikiyan hain.’ 
(Tirmizi:2689) Classed as Sahih By Albani
__________________________________

3⃣.Salaam ka jawab behtar andaaz me de

“Aur jab tumhen salam kiya jaye to tum usse acha jawab do ya unhi alfaaz ko lauta do be-shak Allah Ta’ala har cheez ka hisab lene wala hai.”
(Surah Nisa:86)
__________________________________

Upar diye gaye hawalo se hame nasihat milti hai ke hame behtar alfaazo me salam ki adayegi karni chahiye aur behtar alfazo me hi salam ka jawab bhi dena chahiye jaisa ke hame Allah Subhanahu Taa’la ne hukum diya hai Aur Rasool’Allah ﷺ ne uska tareeqa sikhaya hai, hame usi ke mutabiq chalna hai aur behtar salam karke nekiyan kamani hai. 

Yaad rahe Salaam hamare pyare Rasool’Allah ﷺ ki sunnat hai aur ek ibadat hai, lehaza alfaazon ki adayegi sahi dhang se hona lazim hai.

Wallahualam
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS