Jume Ke Din Ki Fazilat Aur Ahmiyat.
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hain:
🔘 Al-Quran: ‘Aey Ahle Eman! Jab Juma Ke Din Namaz (Juma) Ke Liey Azaan Di Jaae Tou Allah Ke Zikar (Khutba aur Namaz) Ki Taraf Daudo Aur (Is Waqt) Karobaar Chod Do. Agar Tum Samjho Tou Ye Tumhare Haq Me Bahot Behtar Hai.’
📚– (Surah: Al Juma 9)
🔘 Hadees: Abu Al Ja’ad Zamri(R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jo Shakhs Susti ki wajah se 3 Juma Chod dey tou Allah Ta’ala iske dil par Mohar lagaa deta hai.’
📚– (Abu Dawood: al Salah 1052 – Tirmizee: 499) Ise Imam Haakim V1 P 280, Imam Ibne Khuzaima 1858, Imam Ibne Hibban 554 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
🔘 Hadees: Aap(ﷺ) ne farmaya:
‘Log juma Chodne se baaz Aajaaei’n Warna Allah Ta’ala inke Dilo’n par Mohar Lagaa Dega phir wo Gafil ho Jaayenge.’
📚– (Muslim: al Juma 825)
🔘 Hadees: Ibne Masood (R.A) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya Ke:
“Mera Dil Chaahta hai ke main kisi Shakhs ko Hukam du’n ke wo logo’n ko namaz padhaye phir Main in logo’n ke Gharo’n ko Jalaadu’n jo bila uzr juma Mein nahi aate,..”
📚– (Muslim: al Masaajid 605)
*WAJAHAT:
Maloom hua ke Juma ka Chodna bahot bada Gunah hai, is par Shadeed Waeed (Warning) hai. Lehaaza har musalman par juma Padhna farz hai. Is mein hargiz Susti nahi karni chaahiey. Jab Khateeb mimbar par chadhe, aur azaan ho jaae tou saare karobaar haraam hojaate hain.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment