find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Masjid Aur Eidgaah Me Auraton Ka Jana. (Part 2)

Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana-jaana Shariyat ke Roshni me.

      Part - 2
Kaha jata hai Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana FITNA ho sakta hai ….
lekin 
Aaj Aurat ka in muqamaat par Aana-Jana ya kaam karna FITNA nahi hai kya ❓
Jaisa ke Aurat ka ….
   Bazaar me
   Election me –Voting Booth, MLA,MP, Sarpanch, Mayor,Corporator.
   Job me –Doctor, Engineer, Pilot, Teacher, Lecturer,Professor, Conductor
   Bank me –Manager, Cashier
   Sports me –Cricket, Tennis
   Film Industry me –Model, Actress, Singer
   Film Theater  me
   Business me
   IT Industry me
 Aurato ko rokne wale kaun ❓
Aurat ko Masjid aur Eidgaah me aane se rokne wale Allah aur uske Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam nahi hai balke…
Ulma
Walidain
Bhai- bahen
Rishtedar
Samaaj
hai.
 Nuqsaanaat:
Aurat ko Masjid me aane-aaje ko pabandi lagayi jaane se  Aurato me …
Manhaj aur Aqaeed me bigad paida huwa
Bedeeni
Duniya parsti
Madda parsti (materialism)
Rasm Riwaaj
Biddatein 
ye buraeeya ghar kar li.
Iska natija ye huwa ke ….
Zindagi ka maqsad bhul gayi
Aapne aulaad ki tarbiyat Nahi kar paa rahi hai
Ghar me jhagde – fasadaat
Qinaa’at pasandi chali gayi 
 Masjid ke Faydein:
Agar auratein Masjid se jud jaaye to  …
Ulmao ke bayanat me shirkat karegi
Islam ki buniyadi taalim milegi
Uske Manhaj aur Aqaeed ki islaah hogi
Ghar Wa Khandan ki islaah karegi
Deendaari paida hogi
Deendaar aurato se dosti hogi
Dil me se duniya ki Muhabbat chali jayegi.
 Ajib hal hai :
Jo log aurato ko Masjid aur Eidgaah me aane jaane pe pabandi lagate hai wahi log aaj kal Aurato ki Jamaat banakar gaon-gaon fira rahe hai.
 Allah aur Rasool ka Hukm:
وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ
“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.(Surah 2 Baqrah : 114)
*To Be Continued....
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS