find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaj Ka tarika Shuru Se lekar Salam Pherne Tak. Niyat Kaise Kare?

NAMAZ- E- NABAWI SHURU SE AKHEER TAK

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
Namaz Shuri Se Aakhir Tal Kaise Padhe, Namaz Padhne Ka Sunnat Tariqa
Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya
Tum Namaz aise padho jaise tum ne mujhe Namaz padhte dekha
Sahih Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees  631

  • Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм  jab Namaz ke liye khade hote to Qibla ki taraf rukh karte aur apne hathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthate
  • Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allahu Akbar’ kehte the
Sahih Muslim Kitab us Salaaat, Hadees No. 390-391,
  • Phir Dayen Hath se bayen hath ko pakadte
Sunan Nasai, Hadees No. 888,
  • Aur Dono Hatho ko seene par baandh lete
Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 759,
Ibn Khuzaymah, Kitab us Salaat, Hadees No. 243,
  • Uske baad Aap ek ye dua padhte the

   سُبْـحَانَكَ اللَّهُـمَّ وَبِحَمْـدِكَ، وَتَبَارَكَ اسْمُـكَ، وَتَعـَالَى جَـدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ
Subhaanaka Allaahumma wa bihamdika, wa tabaarakasmuka, wa ta'aalaa jadduka, wa laa 'ilaaha ghayruka .
Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 775-776

Phir Aap    ‘Auzubillahi min ash shaitaan ir rajeem
  Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 764,
  •   Aur Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem parhtey the
Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 399,
  •    Phir Aap Surah Faatiha parhte the
 Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 498,
  • Jab Surah Faatiha Khatam karte to ‘Aameen’ kehte
Sunan Nasai, Hadees No. 880,

  • Surah Faatiha ke baad Aap kabhi lambi kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Surah parhte
Sunan Nasai, Hadees No. 983,
  • Fajr Ki Namazon me dusri Namazo ki nisbat lambi qirat karte
Sahih Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 771,
  • Aap Fajr Ki Namaz me aur Maghrib Aur Ishaa Ki Namaz ki pehli do raka’aton me buland awaaz se qirat karte the. Baaqi me Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the
 Fajr ki Daleel: Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 773,
Maghrib ki Daleel:
Sahih Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 763-764
Ishaa ki Daleel:
Sahih Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 766-767,
  • Aap ka ye ma’amool tha ke har Namaz me pehli Rakaat dusri rakat se lambi hoti
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 758-759,
  • Phir Aap usi tarha Rafayadein karte jis tarha Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur    ‘ Allaah u Akbar’  kehte huve Haalaat e Rukoo me chale jaate
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 736-737-738,
  • Apne hathon ki ungliyan khol kar ghuton  ke upar yun rakhte jaisa ke unhen mazbooti se thaame huve ho.
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828,
  • Apni Kamar ko hamwaar rakhte aur sar ko kamar ke baraabar is tarha rakhte ke wo  uncha hota aur na jhuka hua hota
Sahih Muslim, Kitab Us Salaat, Hadees No. 498,
Aur     Subhaana Rabbiyal Azeem سُبْحَان)َ (رَبِّيَ الْعَظِيمِ kehte
Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871
  •  Phir Sami Allaahu liman hamidah kehte huve
  •  Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 795,
  •  Rukoo Se apna sar uthate aur Rafayadein karte the
  •  Sahih Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 736,
 Jab Aap seedhe khade ho jaate to’     Rabbanaa wa lakal-hamd’ kehte
 Sahih Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 796
  •  Phir Allahu Akbar kehte aur sajde par chale jaate
  •  Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789
  • Is mauke par Aap Rafayadein na karte the
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 735
  • Aap peshaani, naak, dono hathon, dono ghutno aur duno qadmon ki ungliyo par sajdah karte the
  • Sahih Bukhari, Kitab ul  Azaan, Hadees No. 812
  • Apne Hathon aur Paon ki ungliyo ko Qiblah ki jaanib rakhte
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828
  • Haalaat e Sajdah me Itidaal aur itminaan ka khaas khayaal rakhte Peshaani aur naak achi tarha zameen par tikaate
Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 858
  •  Hatheliyon par bojh daalte aur kohniyo ko zameen se utha kar rakhte
  •  Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 494
  •  Apne Baazoo badan se alag rakhte
  •  Sahih Bukhari, Kitab us Salaat, Hadees No. 390
  •  Pet ko Raanon se aur pindhiliyo se uncha rakhte
  •  Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 496
  •  Haalat e Sajdah me Subhaana Rabbiyal Alaa kehte
  •  Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871
  •  Phir Allahu Akbar kehte huve apna sar mubaarak uthate
  •  Sahih Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789
  •  Baayen paon ko bichha kar us pe baith jaate aur daayen paon ko khada kar rakhte aur hathon ko raano par rakh lete
  •  Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957
Aur ye dua padhte,          ‘Allahumma agh-firli warhamni wa ’ajburni wa ’ahdini wa ‘arzuqni’
 Jama Trimizi, Kitab us Salaat, Hadees No. 284
Phir Aap Allahu Akbar keh kar sajde me chale jaate
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803
Aur usi tarha karte jis tarha pehle sajde me kiya tha
Phir Allahu Akbar keh kar Sar Mubaarak uthate
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803

Phir Aap dono hathon ko zameen par laga kar unke sahaare khade hote
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 824
  • Jab Aap achi tarha khade ho jaate to Qirat shuru karte aur phir dusri rakat usi tarha padhte jis tarha pehle rakaat padhte the
  • Phir Tash’hudd awwal ke liye yun baith’te jis tarha do Sajdo ke darmiyaan baith’te the
  • Daayan hath daayen raan par aur baayan hath baayen raan par rakhte
  • Daayen hath ke angoothe ko darmiyan waali ungli ke sath mila kar halqa (circle) ki shaql bana lete the
  • Aur shahadat ki ungli se ishaara karte the
 Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957
  • Aur us par nazar rakhte
Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 990
  • Phir ye kalmaat padhte “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu 
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 831
Sahih Muslim, Kitab us Salaat Hadees No. 402

  • Aap darmiyaane tash’hud ke liye thodhi der baith’te
  • Phir aap takbeer kehte hue khade ho jaate
Sahih Bukhaari, Kitaab ul Azaan, Hadees No. 803
  • Is mauqe par Aap Rafadein bhi karte the
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 739
  • Aur teesri aur chauthi rakaat ada karte Ye Rakaaten pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi
  • Kyun ki Aap in me sirf Surah Fatiha padha karte the
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 776
Sahih Muslim, Ktab us Salaat, Hadees No. 451

  • Phir Aakhri tash’hud me is tarha baith’te ke baayen paon ko bichha kar daayen paon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal lete
  • Daayen paon ko khada kar lete aur zameen par baith jaate
Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, 828
  • Phir Aakhri Tash’hud padhte
  • Us me tash’hud ke ilaawa durood sheriff padhte
  Allahumma salli alaa Muhamadin wa alaa aali Muhammadin
 Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 406

  • Phir Aap Aakhir me Jahannum, azaab e qabr, zindagi aur maut ke fitno aur dajjaal ke fitne se Allah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayen karte jo Kitab o Sunnat me maujud aur mehfooz hai
  • Darj e zil Dua apko bahut pasand thi, balke Aap ne ise padhne ka hukm diya
Allahumma innee auzu bika min azaabil qabri, wa min azaabi jahannama, wa min fitnatil-mahyaa wal-mamamaati, wa min sharri fitnail-maseehid dajjaal 
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ القَبْر، وَمِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الْمَسيحِ الدَّجَّالِ
Sahih Muslim, Kitab ul Masaajid, Hadees No. 588

  • Phir Aap daayen jaanib aur baayen jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ keh kar salaam pherte the
Sahih Muslim, Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 582
  • Kalmaat salaam ki ibtida Qibla ki taraf mooh kar ke karte aur Aakhri kalma adaa karne tak chehra mukammal daayen ya baayen taraf pher lete the
  • Jab Aap salaam pher lete to teen martaba
  • Astaghfirullah’ kehte aur phir ye kalmaat kehte
  Allahumma antas-salaamu wa minkas-salaamu, tabaarakta yaa Zal-Jalaali wal-ikraam
Sahih Muslim Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 592

  • Phir Aap wo duaayen padhtey jo kitab ahadees mehfooz aur maujud hai
  • Shaikh Saalih Fawzaan ibn al-Fawzaan hafizullah Aage farmaate hain
  • Aye Musalmaan Kitab o Sunnat ki roshni me Namaz ka ye mukhtasar sa bayaan hai
  • Aap ko chaahiye ke apni Namaz me in cheezo ka khoob ihtimaam kare taa ke Aapki namaz hatta al-imkaan Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki Namaaz ke mutaabiq ho
  • Allah ka irshad hai
لَقَدۡ کَانَ لَکُمۡ  فِیۡ رَسُوۡلِ اللّٰہِ  اُسۡوَۃٌ حَسَنَۃٌ  لِّمَنۡ کَانَ یَرۡجُوا اللّٰہَ وَ الۡیَوۡمَ  الۡاٰخِرَ  وَ ذَکَرَ  اللّٰہَ  کَثِیۡرًا ﴿ؕ۲۱﴾
Yaqeenan tumhaare liye Rasool me umdah namoona hai, har us shaqs ke liye jo Allah Ta’ala ki aur Qayaamat ke din ki tawaqqo rakhta hai aur ba-kasrat Allah ko yaad karte hai.
 Qur’an, Surah, Ahzab, Ayat No. 21
_____________________
Allah Ta’ala se dua hai ke wo humen ache amaal ki taufeeq de, Aameen
According to the Qur'an and Authentic Sunnah, this is the procedure to offer Salah in a correct way as our beloved Prophet Muhammad used to offer
Forward this to others and be a part of Sawab-E-Jariya In'Sha'Allah
Jazak’Allahu’Khairan
Duniya ka koi bhi Aadmi in hadeeso ko ghalat nahi bol sakta Aap bhi tahqeeq kijiye Allah ke rasool (saw) ka namaz ka tareqa sahi hadees ki raushni me kya hai malum kijiye nahi kare to jo ibadaat Allah ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyн ωαѕαℓℓαм tariqe se nahi wo ibadaat ya namaz Allah ko Qubool nahi.
Share:

4 comments:

  1. Hello everyone, it’s my first visit to this website, and the piece of writing is eid ul Fitr in support of me, keep up posting this content. Eid Ul Fitr Namaz Ka Tarika

    ReplyDelete
  2. Alhamdulillah
    Bahut achi jankari di aapane

    ReplyDelete
  3. Bahut acha aarticle

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS