find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Suraj Garhan Ya Chand Garhan ki Namaj.

*❗SÛRAJ YA CHÃND GRAHAN KI NAMÃZ❗* *⚫"

KASOOF" Lughat mei siyah ho jane ko kehte hai.* *

Sûraj grahan ki namaz ka hukm ;* (Mard aurat sabke liye) sunnat e moukkida kafaya hai. *Fiqhus-sunnah : 278/1.*

Sûraj grahan Allah ke nashaniyon mei se ek nishani hai. Aise mouqe par do(2) raka'at namaz aur zyada se zyada Allah tala ki badai wa buzrugi, hamd o sana aur sadqaat wa khairaat ka ehtemaam karna masnoon hai. *Sahih bukhari : 1044.* Sûraj grahan ki namaz ka tariqa ; Ye namaz doosri namazon se muqtalif iss etebaar se hai ke iss ki har raka'at mei do(2) qayam, do(2) ruku, aur do(2) sajde hai, is tarhan se do(2) raka'at mei chaar(4) qayam, chaar(4) ruku, aur chaar sajde honge. *Sahih bukhari : 1044.* Takbeer e tehrima ke baad qayam ki halat mei dua e sana padhen, phir surah fatiha aur koi surat buland aawaz se tilawat karen. Phir ruku mei jaye, duayein padhen aur lamba ruku karen. Phir ruku se uthen aur pehle se kuch halka qayaam karen, aur phir buland aawaaz se tilawat karein. Phir pehle ki tarha lamba ruku kare, phir qoum karein, aur sajde mei jayein. Sajde se uth kar qaide ki duaen padhen, phir dûbara pehle se halka sajda karein, isi tarha aap ki ek raka'at mukammal ho gayi.

Dûsri raka'at bhi isi tarha ada karen, aur tashahud ke liye baithe. Aur salam pher den, dûsri raka'at pehli raka'at se lambi hogi. *Sahih bukhari : 1044, 1046, 1047, 1050, 1065.* 
Namaz ke baad khutba den, jis me wa'az nasihat ho aur khaufe ilahi ka zikr ho. *Sahih bukhari : 1052, 1053.* Namaz aur khutba ke baad bhi agar grahan saaf nahi hota tou phir dua, zikr wa azkaar, tasbeeh wa tehleel, isteghfar aur sadqaat wa qairaat karna chahiye. ⚫Aurten bhi grahan ki namaz padh sakti hai. *Sahih bukhari : 1053.* *Chãnd grahan ki namaaz ;*

Mazkora balasatoor mei sûraj grahan ke waqt padhi jane wali namaz ka jo tariqa aur hukm hai, wahi chãnd grahan ki namaz ka bhi hai. *Sahih bukhari : 1044, 1058. Sahih muslim : 901.*

*Post from : Tahãrat aur Namãz by Saud Ahmed bin Maqsood Ahmed Al-Madni*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS