✾⊙✿
*⚀_вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм _,⚀*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*🔥 JAHANNAM KE AHWAAL 🔥*
Jannat Me Sbse Aakhiri Me Jane wala Shakhs Kaun Hoga?
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Sabse Aakhir mai Dozakh se Nikalne Wale Ka Qissa _,*
┏───────────────────┯ ✿
✪_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-
Mai'n us Shakhs ko pehchanta hu'n Jo Sabse Aakhir mai Dozakh se niklega , Ye Esa Shakhs hoga Jo Rengte hue Dozakh se niklega , Pas Wo kahega k - Ey Parwardigaar ! Sab log Apni Apni manzile haasil kar chuke hai'n , Usse Kaha jayega k - Jannat ki taraf jao aur Jannat mai dakhil ho Jao !
Wo Jannat mai dakhil hone ke liye jayega to logo ko Payega k Wo Apni manazil haasil Kar chuke hai'n, Waapas aa Kar kahega k - Ey Parwardigaar ! Log to Saari Jagah le chuke hai'n ( aur ab Waha'n gunzaish hi nahi ) usse kaha jayega k - Tujhe Wo Zamana Yaad hai Jisme Tu raha karta Tha ? Arz Karega - Ji Haa'n ! Kaha jayega - Tamanna Kar ( aur Maang Kya maangta hai ? ) Wo (Apne hosle ke mutabiq ) Tamanna Karega ,
Pas usse kaha jayega :- Tune Jitni Tamannaye ki Hai'n Wo tujhe di jati hai aur Uske Saath Duniya se das ( 10 ) guna badi Jannat di jati hai ,
Wo ye Sun Kar kahega k :- Aap Maalikul Mulk ho Kar mujhse Mazaaq karte hai'n ?
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ( uska fiqra Bayan farma Kar ) Hanse , Yaha'n Tak k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kuchliya'n zaahir ho gayi _,"
*🗂 Tirmizi _ 2/83 ,*
*✪_ Tashreeh _,* Us Shakhs Ka qissa mukhtasar Yaha Naqal hua hai , Sahih Bukhari v Muslim ki Hadees mai Bahut mufassal hai , us Shakhs Ka ye Kehna k - Maalikul Mulk ho Kar mujhse Mazaaq karte hai'n ? Rehmate ilaahi per naaz aur farte masarrat ki vajah se hoga ,Wo bechara ye samjhega k Jannat to Saari bhar chuki Hai Waha'n itni gunzaish kaha k itna bada hissa usko de diya Jaye , fir Shayad ye vajah bhi ho k Wo itni badi Jannat ko Apni haisiyat se Bahut zyada samjhe , Bahar haal ye adna Jannati ke Saath Haq Ta'ala Shanhu ki Rehmat v inaayat hogi ,Hazraate Ambiya Kiraam Alaihissalaam aur Digar Akaabir per Haq Ta'ala Shanhu ki inaayato aur rehmato Ka Kon tasavvur Kar Sakta Hai __,?
☞ *Allahumma Ajirna Minannaar ,Ya Allah Hume Jahannam Ki Aag Se Bacha -( Aameen )*,
┏───────────────────┯
★
■─────────────────────
■─────────────────────❥
Assalamu alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh. Bhai kon sa Hadith me hai???????
ReplyDelete