find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Islam Pasand ki Shadi Karne Se Rokta Hai?

Islam me #Shadi Ke Bare me Kya Kaha Gya Hai?


Nikah ke bare me Ahadees

Must read and share




Rasool ul lah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya

"Allah ne (bila waja e sharai) Shadi na karne wale un mardo pe lanat farmai jo ye kehte hen ke "hm shadi nhi karenge" or un Aurton pe bhi lanat farmai jo aisa kehti hen"
(musnad imam ahmed j#3 h#7896)
Aeik or hadees me farmaya
"nikah meri sunnat hai, jisne meri sunnat pe amal na kiya uska mujhse koi talluq nhi" (ibne maja j#1 h#1913)
Aeik hadees Auraton ke ghar walo ke liye Aap ﷺ ne farmaya
"jab tumhe aisa shakhs (tumhari behan ya beti ke liye) nikah ka Paigham de jiska deen or Akhlaq (Character)  tumhe pasand hoto us se Nikah kar do agar aeisa na karoge to zameen me bahut bara fitna paida hoga"
(tirmizi j#1 h#1076)
Aik hadees me Aap ﷺ ne farmaya
"Aurton se unke husn (Beauty) ki wajah se shadi na karo, ho sakta hai unka husn tumhe tabah kar de, aur na unse unki daulat (Property) ki wajah se shadi karo ho sakta hai uski daulat tumhe gunaho me mubtala karde,
Balke deen dari ki waja se shadi kiya karo,
Kali, chapti or Bad surat (ugly) khadima agar deen dar hoto (khubsurat buri Aadaton wali Ameer Aurat se) behtar hai"
(ibne maja j#1 h#1926)
Aeik hadees me irshad huwa
"kanwari larki ka Nikah uski marzi ke bina (without Permission) na kiya jaye or bewa (widow)  ka uske hukum (Order) ke baghair na kiya jaye"
(bukhari j#3 h#1856)
Aeik hadees me farmaya gaya
"jab banda shadi kar leta hai to uska Aadha deen mukammal ho jata hai (yani wo bahut se gunaho se bach jata hai) ab use baqi Aadhe deen me Allah se darte rehna chahiye"
(attargheeb wa tarheeb j#2)
Aeik jagah farmaya
"koi Aurat apna nikah khud na kare.(balke is nikah me waldain ki marzi ko bhi shamil kare)"
(ibne maja j#1 h#1950)
Aeik maqam pe farmaya
"2 Muhabbat karne walo ke liye Nikah se acha kuch nhi"
(yani jab koi larka or larki Aapas me Muhabbat karte ho to unke waldain ko unka nikah karwa dena chahiye, Islam pasand ki shadi ke khilaf nahi hai mgar waldain ki nafarmani Aur Shadi se pehle ki mulaqato or behayai ki bato ke khilaf)
(ibne maja j#1 h#1914)
Aeik jagah faramaya
"behtreen Nikah wo hai jo Aasani se (km kharche me) hojaye"
(abu daod j#2 h#349)
"Allah sb Musalmano ko deen ke ehkamat pe amal ki taufeeq ata farmaye"
Aameen
Duao ka talib
Share:

8 comments:

  1. Kiya pasand k nikkah k liyea dua krna sahi hai k mera yahan nikkah ho jae

    ReplyDelete
  2. Islam ne Jitni aazadiya aur Haque diya hai Auraton ko ilutna duniya ka koi kanoon nahi diya hai. Bas haram kamo se roka hai.

    ReplyDelete
  3. Masha Allah magar mai Apne walidaon ke marji se hi karungi.

    ReplyDelete
  4. Mai bhi Shadi ki , mai ek ladke se Muhabbat ki aur nikah kar li Qazi se . Ab ham dono khush hai, Islam ke raste par chalne me hi Khushi hai, pahle mai bhi shadi se inkar karti thi mgar mujhe Allah ne hidayat diya aur fir mujhe Apne Shauhar se muhabbat ho gayi,. Allah pak Sari ldi ko Islam par chla

    ReplyDelete
  5. Alhamdulillah ham do khush hai, Meri bhi abhi nayi nayi Shadi Hui hai Ghar walo ke kahne par magar mi bahut khush hoo Ane Sharik e hyat ki muhabbat pakar.

    ReplyDelete
  6. Islam me ladka ladki ko nikah ki ijazat deta hai magar Wali ki ijazat jaruri hai. Majeed jankari ke liye ulema se rabta kare.

    ReplyDelete
  7. Islam me puri aZadi hai ladki.kisi se bhi shadi kare bas uske wali ki ijazat honi chahiye aur wah Musalman hona chahiye.

    ReplyDelete
  8. Islam me chhota bada Amal ke buniyad par hai, Paise, rang se nahi.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS